Rog Pratirodhak Kshamta kaise Badhaye-Boost Immune system

You are currently viewing Rog Pratirodhak Kshamta kaise Badhaye-Boost Immune system

Rog pratirodhak kshamta(Immune system)– Kyunki Coronavirus pandemic ya aur badi beemariyon ki abhi tak koi perfect ilaz/vaccine nahi hai, to hame isse god ke alawa ek hi chiz bacha sakta ya surakhsit rakh sakta hai. 

Wo hai hamara immune system yani Rog Pratirodhak Kshamta.

Aaj ham kuchh gazab ki chize janne wale hain jo sirf 20% logo ko hi pata hai.

“Jaise ki immune system kya hota hai? “Ye kaise kaam karta hai? “immune system kamzor hone ke lakshan? “Bacho ki immunity kaise badhaye? or “Immunity kya hai in hindi? E.t.c”

Rog Pratirodhak Kshamta kya hai? (What is immune system?)

Immune sytem definition:- Rog pratirodhak kshamta badhana koi kathin kaam nahi hai. But, sabse pahle ye samajhte hain ki rog pratirodhak kshamta kise kahate hain? 

Hamare sharir (body) me jab bhi koi kitanu(germs), jivanu(Bactereia) or vishanu(virus) parvesh karta hai to hamara body use marne and door bhagane ki puri koshish karta hai.

Sath hi sath hamara shareer ek vishesh tarah ka padaarth(matter/thing) banata hai jise vaigyanik jagat(Scientific world) me antibody (pratirakshi kan) kahte hain.

Immune system types hindi: Isme hamare sharir ki vibhinn(different types of) cells bhaag leti hai jaise:- white blood cells (shwet rakt koshikaye), Lymphocytes, Erthrocyte, competent cells etc.

Pratirakshi kan(Antibody) hamare body ke sainik hote hain. Jis tarah desh ko sena me alag alag regiment ya batallion hote hain, usi tarah hamare sharir me har bimari se ladne ke liye alag alag antibody hote hain.

Ye Antibody puri tarah protien ka bana hota hai. Isliye sabse pahle to hame apne khane me protien ki maatra(Quantity) badhani hogi.

Rog Pratirodhak Kshamta Kamzor hone ke Lakshan(Signs of Weak Immune System)

Rog-pratirodhak-kshamta-kamzor-immunity-ke-lakshan

Yahan mai ise pata lagane ke kuchh points bata rahu hun, iske baad strong and powerful immunity kisse increase hoti hau ye bataunga:-

  • Agar aap jara sa bhi allergy bardasht nahi kar pate aur beemar pad jate ho to iska matlab apki immune system weak hai.
  • Kya aap dusro ke comparison me jald hi beemar pad jate ho? Agar aisa hai to apki rog se ladne ki kshamta Kamzor hai.
  • Immune system ke kamzor hone ke kaaran sharir pe chakatte padne(skin rashes) aur mausmi bukhar ki samasya bhi hoti hai.
  • Baar baar masudo(gum) me soojan, munh(mouth) me chhale, Urine infection, jukaam ya flu ki shikayat hoti hai to iska matlab immunity weak hai.
  • Apka ghaav/zakhm(wound) bharne me, auro ki tulna me jyada samay lagta hai, to adhik chance hai ki apka immune system kamzor hai.
  • Kya Apko tez bhook nahi lagti, khaya piya jaldi nahi pachta(digest), pet me gas, kabz ki problem hamesha rahti hai? to ye sare sanket bhi kamzor rog pratirodhak kshamta ke hain.
  • Agar aap jaldi thak jate ho, jyadatar waqt aalaspan(laziness) rahta ho, neend aati rahti ho, baal jhadte hon, to iska matlab, apki immune system strong nahi hai.
  • Ghabrahat aur bechaini bhi kamzor immunity ke lakshan hain. (Source:- Aajtak & Webmd)

Immune System Kamzor Hone Ke kaaran?(Why do Immunity get weak?)

Khaan-paan ki galat aadatein, samay par aur puri neend na lena, tanav, tension, paani kam pina, exercise ka abhaav e.t.c 

Upar bataye gaye chizo ki wajaho se sharir ko uchit poshan tatva(Nutrients) nahi mil paate, jiski wajah se immunity kam or kamzor ho jati hai. 

Rog Pratirodhak Kshamta Kaise badhaye (Increase Immunity Power)

Rog-Pratirodhak-Kshamta-Kaise-badhaye

Iska jawab mai 3 hisso me dene ja raha hun:- 

  1. Sharir ki beemariyo se ladne ki Kshamta badhane ke upay
  2. Immunity improve karne wale super food
  3. Immunity booster drinks 

1. Sharir ki beemari se ladne ki Kshamta badhane ke upay

#Rozana Vyayayam(Regular Exercise) 

Rog/beemariyo se ladne or door bhagane ke liye Vyayayam bahut zaruri hai. Yeh dil, blood pressure, sharir ke vajan ghatane aur fit rakhne and alag-alag tarah ke bimariyo se ladne me madad karta hai. 

Exercise, stress hormones “Cortisol” ke level ko kam karne me madad karta hai. Jo sharir me jyada hone par Immune system ko kam karne lagta hai. 

Har din exercise karke is par control rakha ja sakta hai.l, iske liye:-

30 minute ki paidal tez chalna ya daudna,

Bacho/paaltu janwaro ke saath khelna,

Cycle chalana or tracking karna,

Aerobics or Zumba,

Nritya(Dance),

Yoga,

# Achhi Neend(Get Enough Sleep)

Maano ya na maano, Neend aur immunity dono ka aapas me gahra sambandh hai.

Doctors ki research ke mutabik Kam neend lena apke andar natural rog pratirodhak kshamta ko kam karti hai aur badan me soojan(inflammation) badhati hai.

Isliye har raat kam se kam 7-8 ghante ki neend immunity badhane ke liye behad zaruri hai. Agar jaldi neend na aati ho, to aap koi kitab ya kahaniya padh sakte ho.

#Tanaav ko kam kare(Control your Stress level)

Aajkal ke bhaag-daud, rishte-naate aur Job-paise ki wajah se bahut se log tanav me aa jate hain.

But, bewajah kisi bhi maamle me stress ya tanav lena sahi nahi hai. Aap sirf haalaat/samasya ko aur bura karte ho. Aur kuchh nahi.

Tanaav aur chidchidapan(anxiety) ko kam karna achhi immunity ki chabhi hai. 

Apne tension aur stress ko dhyan(meditation), exercise, yoga e.t.c ke jariye apne rog pratirodhak kshamta ko badha sakte hai.  

#Dhumrapaan(Smoking) aur Sharab Chhode

Smoking aur alcohol peena immune system ko nukasaan pahunchata hai. 

Kyunki isse apke lungs aur liver par bura asar padta hai jisse ye sharir ke beemariyon aur infections se ladne ki kshamta kho deti hai. 

#Dhoop Aur Taazi Hawa

Ji haan, Dhoop(sunshine) aur taazi hawa bhi hamare sharir ko rog se ladne ki kshamta ko badhati hai. 

Dhoop se hame Vitamin D to milti hi hai. Saath hi ye haddi ko majboot banati aur immune system ko achhi rakhti hai, body me pal rahe kitanu aur bacteria ko khatm karti hai.

And Taazi hawa bhi iske liye bahut hi zaruri hai, Jo hamare saans ki nali(lungs) ko saaf rakhti hai aur hame nayi, fresh, energetic life deti hai.

So, Park me ya kahin bhi jaye, But, Apne aapko dhoop me rakhe, Taazi Hawa me saans le, khele, koode, baithe, hanse. Isse apki Immunity bahut mazbut hogi.

2. Immunity badhane wale Foods (Immunity booster Super foods)

Immunity booster super foods

Broccoli:-

Broccoli sabse sehatmand sabjiyo me se ek hai. Isme Vitamin A, C aur E ke saath-saath kai anya antioxidant aur fibre bhi paye jate hain.

Broccoli sabse sehatmand sabjiyo me se ek hai. Isme protien, carbohydrate, calcium aur kai dusre poshak tatva bharpoor maatra me paye jate hain.

Orange, Amla(Gooseberry) aur Mosambi:-

Adhiktar Rogo me Doctors, patients ko citrus fruits yani khatte fal khane ko kahta hai.

Khatte fruits ka sevan sharir ke liye bahut faydemand rahta hai. Isse blood lipid, blood glucose aur rakt vahikaon(blood vessels) ki karyapranali(procedure) par achha asar padta hai.

Iske alawa in Falo ke sewan se High Blood pressure, Heart attack aur stroke e.t.c jaise kai samasyaon se duri banaye rakhne me madad milti hai.

Santare, Amla, Kiwi aur Pineapple Jaise khatte falo me Vitamin-C ki bharpoor maatra hoti hai. Jo har tarah ke infections se ladne and safed rakt kan(White blood cells) ko banane me sahayak hoti hai.

**Isme se Amla aur Orange Super food me se hai. 

Paalak(Spinach):-

Paalak ek aisi sabji hai jisme poshak tatva bahut paya jata hai.Ye apke immune system ko badhane me madad karta hai kyonki isme avashyak poshan aur antioxidants jaise ki flavonoids, carotenoids hota hai.

Saath hi isme Vitamin-C aur Vitamin-E bhi hota hai.ye sare poshak tatva Immune system ko behtar banata hai.

Badam(Almond) khane ke fayde:-

Badam Vitamin-E ka sabse acche source me se ek hai. Aur to aur isme saath hi manganese, magnesium aur fiber bhi paya jata hai.

Sirf 5-10 daane agar aap rozana bhigokar khaye to ye apka Immune system jald hi mahatvapurna dhang se badha dega. 

Protien foods:-

Jo log maansahari(Non-vegetarian) hain, unhe to koi samasya nahi hai kyunki Eggs, Fish, Chicken aur Meat me bharpoor protien hota hai. Protien hamare Immunity ko mazbut banata hai.

Shakahari (Vegeterian) logo ke liye Protien ke kuchh source ye hain;

Soyabean, Daal, Doodh, Paneer, Mushroom, Dahi, shrikhand, Beans, Matar(Peas) e.t.c.

**Lahsun(garlic), Shahad, daalchini aur berries fal(strawberry, blue berry, grapes etc) bhi immune system ko taaqat deti hai.

Rog Kshamta Badhane wali Pey Padarth(Immunity booster drinks)

Haldi(Turmeric) Drink:

Haldi ek gazab ki gharelu dawa hai, Jo antioxidant, anti inflammatory, antiseptic aur antibacterial jaisi 10 gun apne andar samaye hue hai. 

Isme maujood gun apko kitanu, virus aur bacteria aur badi bimariyo se bachakar immunity ko behtar aur powerful banati hai.

Ek glass garm doodh lo aur usme 1 chutki haldi daal de use achhe se mix karo aur peelo.

Haldi wali doodh apke body ko jald hi ek Suraksha kawach(Protection Shield) ke jariye bacteria aur virus se bachayegi.  

Ise Sone ke 1-2 ghante pahle lena sabse behtar hai.

Citrus Juices (Orange, Mosambi, Grapefruit etc)

boost immune system by citrus fruits juice

Vitamin-C se bhari hui Santare, Chakotra aur mosambi ke juice me aise gun paye jate hain jo apko sharir ko nuksaan aur infections se bachati hai. Jisse apki rog pratirodhak kshamta salamt rahegi aur badhegi.

In fruitc ke juice me mahatvapurna poshak tatva ye sab hain ; Potassium, Vitamin-A, Vitamin B6, Vitamin B9, Vitamin-C & Zinc.

Tamatar ka juice:-

Tamatar me Vitamin B9 parchoor maatra me payi jati hai jise folate bhi kahte hain. Ye apko hone wale infections se protect karti hai.

Is Tomato juice me thodi maatra me magnesium bhi hoti hai jo anti inflammatory he, jiska kaam dard aur soojan ko door bhagana hai. 

Isme Vitamin-A, Vitamin-C & Vitamin-K bhi maujood hoti hai jo ki apke immune system ko badhane aur mazboot karne me bada kaam aata hai.

**Adrak wali chaay(without sugar) aur Green tea pine se bhi Immunity power strong hoti hai.

Aaj apko immune system ke bare me lagbhag sab kuchh pata chal gaya hoga. Apne sharir aur immune system ko strong & fit rakho. Mai to apka care karta hun, agar aap meri care karte ho, to is article ko share karo. Kyunki………………..💖Sharing is Caring💖

This Post Has 22 Comments

Leave a Reply