BIRD FLU- Bachav, ILAAJ Aur Lakshan In Hindi

You are currently viewing BIRD FLU- Bachav, ILAAJ Aur Lakshan In Hindi

Bird Flu Or Avian Influenza: Desh ke alag-alag hisso me Pakshiyon (Birds) ki rahasyamayi maut se har koi hairan hai. 

Bird Flu kya hai? Ye kaise failta hai? And Kya bird Flu insano ko sankramit(Infected) kar sakta hai? Aise kayi sawal hain jinke jawab khozne zaruri hain.

December 2020 me Japan, south korea, Vietnam aur Chaar European countries me bird Flu ke maamle aane shuru hue the aur ab ye bharat ke kayi hisso me fail chuka hai.

Bird Flu, infection chicken, turkey, Hans(geese), mor(peacock) aur battakh(duck) jaise Pakshiyon me tezi se failta hai. Yeh influenza virus itna khatarnak hota hai ki isse insan or Pakshiyon ki maut bhi ho sakti hai.

Bird Flu kya hai(What is bird Flu?) Aur iske kaaran kya kya hote hain? Is tarah ke sawal ka jawab har kisi ke paas hone chahiye.

Bird Flu ke naam se popular yeh beemari avian influenza virus  H5N1 ki wajah se hoti hai.

Abhi tak iska mukhya kaaran Pakshiyon ko hi maana jata hai. Lekin kayi baar yeh insaan se insaan ko bhi ho jata hai.

Is beemari se marne wale Pakshiyon me na ek prajati(Species) ki pakshi hai aur na ye ek vishesh chhetra ki ghatna hai.  

Udaaharan ke taur par, desh ke north area ke himachal pardesh me kuchh jangli kalhanso(geese) ki rahasyamayi maut hui hai.

Wahin, india ke paschim aur Madhya area ke do states rajashthan aur Madhya Pradesh me kauvo(crows) ki maut ho rahi hai.

Iske sath hi south india ke down side Kerala me battakh aur Hariyana me Poltry birds ki lagatar pichhle kuchh dino me ho rahi mysterious mauto se sansani faili hai.

In sabhi Pakshiyon ki jaanch me authority ne paaya ki sabhi birds avian influenza se prabhavit the. Jisko aam bolchal me Bird Flu bhi kaha jata hai.

Avian Influenza Ya Bird Flu Kya Hai? | What Is Bird Flu?

Yeh ek atyadhik sankramak viral beemari hai, jo influenza types-A virus ke kaaran hoti hai. Jo aam taur par murgiyon aur turkey jaise Poltry birds ko prabhavit karti hai.

Normally, Pakshi virus ke vaahak(carrier) hote hain. Matlab jo ise lambi doori tak le jate hai. Jisse Mahadweepo(Continent) me badi avian aabadi prabhavit hoti hai. 

Virus ke kayi Nasl(breed) hain aur unme se jyadatar halke hain and sirf murgiyon me kam anda utpadan(Production) or anya halke lakshan paida kar sakte hain.

Halanki, kuchh gambhir aur ghatak bhi hote hain jo badi sankhya me pakshiyo ke death ka kaaran bante hain. 

Bird Flu Kaise Failta Hai | How Does Bird Flu Spread?

Jangli, Jaliya yaani jo paani me rahne wale pakshi jaise battakh aur Hans, Influenza A Virus ko easily se faila sakte hain.

Kai pakshi bimari ko viksit kiye bina Flu ke drop ke jariye infection faila sakte hain. Kyunki, Birds udaan bharte samay bhi influenza virus ka ek achha aerosol pradan karte hain.

Kuchh other birds is beemari ko pakadte hain aur yeh carrier bhi ban jate hain. Kabhi kabhi yeh virus; Pigs, horses, cats aur dogs jaise janwaro par bhi ho sakta hai.

Kuchh reports ke mutaabik, China me ye beemari Pakshiyon ke market se faila tha.  

Ye Insano Ko Kaise Sankramit Karta Hai? | How Does it Infect Humans?

Ye insano ko kaise infected kar sakta hai. Ise samajhne ke liye hame thora pichhe jana hoga. India me ab tak koi maanav sankraman(Human Infection) nahi bataya gaya hai. 

How Bird flu infect humans

17 December, 2020 tak, Avian influenza A(H5N1) virus ke sath maanav sankraman ke total 239 cases ko chaar desho- Combodia, China, Vietnam and Lao PDR se 2003 ke baad se report kiya gaya hai. 

WHO ke anusar, yeh ek vyakti se dusre vyakti me nahi failta hai.

Bird Flu Ke Lakshan |Bird Flu Symptoms

Bird Flu hone par apko khaansi(Cough), diarrhea, bukhaar, saans se judi problem, Sar dard, manspeshiyo(Muscles) me dard, gale me kharaash, Naak bahna aur bechaini jaisi samasya ho sakti hai.

Bird flu symptoms-lakshan

Agar apko lagta hai ki aap iski chapet me aagaye hain to kisi aur ke sampark me aane se pahle Doctor ko dikhaye.

Bird Flu Se Bachaav – Prevention of Bird Flu in Hindi

Iske sankraman ki rokthaam kaise kare?

Yadi aap kisi aise jagah me Yaatra(traveling) kar rahe hain, jahan par bird Flu bahut jyada hai, to in sarvajanik swaasth sujhavon ka dhyan rakhe:

Paaltu Pakshiyon Se Door Rahe:

Agar possible ho to gramin Chhetro, chhote kheto aur khuli hawa wale bazaro me jane se parhez kare.

Apne Haath achhe se dho lein:

Yeh lagbhag sabhi tarah ke infections se bachav rakhne ke liye istemal kiye jane wale sabse aasaan aur behtar bachabo me se ek hai.

Alcohol wale Hand sanitizer ka istemal kare. Dhyan do ki unme lagbhag 60% alcohol shamil ho.

Influenza Teeke ke Bare me Puchhe:

Aise areas me jane se pahle apne doctor se influenza ka vaccine lagwane ke bare me baat kare.

Yeh vaccine khaas kar bird Flu se apki protection nahi kar paata. Lekin, yeh Pakshiyon or Insaan Flu virus ek sath hone ke infection ke jokhim ko kam karne me madad karta hai.

Bird Flu Ka Ilaaj – Bird Flu Treatment in Hindi

Bird Flu ka upchar kaise kiya jata hai?

Iska ek sabse badhiya ilaaj Immune system ko mazboot rakhna hai. Jo hame sabhi tarah ke Virus, Bacteria aur Kitanuo ko door bhagane me madad karta hai.

Flu ki dawaye:-

Lakshan dikhne ke turant baad hi ye dawayi deni chahiye;

Oseltamivir (Tamiflu)

Zenamivir (Relenza)

Paramivir (Rapivab) (Source: Thehealthsite)

Oseltamivir(Tamiflu)- Bird Flu Medicine

In dawaon ka isse ladne ke liye use kiya jata hai, halanki iski upyogita ka sahi measurement karne ke liye aur adhyayan ki zarurat hai.

Apke pariwar ke sadasyon ya apke kisi qareebi vyakti ke liye bhi antiviral dawaye likhi ja sakti hain, taaki unke beemar hone se pahle hi unme infection failne se pahle hi rokthaam ki ja sake.

Bird Flu ke mareej ko anya pariwar ke members se thora alag thalag(Quarantine) rakha jata hai, taaki usse sankraman kisi dusre vyakti me na ho.

Agar aapme serious infection viksit ho gaya hai to doctor apko saans lene ki machine(breathing machine) laga sakte hain.

Yadi, aap iske contact me aagaye hain aur aapme lakshan dikhayi dene lage hain, to ghabraye nahi bas jald se jald  doctor ke paas jaye. Ghar pe ise thik/ilaaz karne ki koshish na kare.

Anya Upaay (Other Solutions) –

  • khoob maatra me, taral padartho(Liquid) ka sevan kare. Jaise; Paani, Soup aur Falo ka Juice e.t.c.
  • Pey padarth ke roop me sirf Paani ka hi sevan na kare iske sath other Ras, Juice ka bhi zarur sevan kare Kyunki akele Paani me sufficient maatra me electrolytes (i.e- Sodium aur Potassium) nahi hote, Jinki sharir ko avashyakta hoti hai.
  • Dard or Fever ka ilaaz Over the counter (Bina doctor ki parchi ke medical store pe milne wali) dawaon se kare. Jaise acetaminophen, ibuprofen or naproxen e.t.c
  • Aaraam kare.
  • Sharirik Mehnat na kare.
  • Sharab aur Tambaaku se bache
  • Khaansi ke lakshan ko kam karne ke liye khaansi ko dabane wali dawaye jaise antihistamine aur decongestant e.t.c ka use kare.
  • Ruki hui naak ke nali ko kholne ke liye bhaap(vapour) ka bhi istemal bhi kiya ja sakta hai.Jisse saans lene me problem thik ho jati hai.
  • Aisi jagahon ko chhune se bache jahan par Flu ke virus jivit rah sakte hain, aise surface jaise Handrail, telephone aur darwaze e.t.c. baar baar apne haath ko dhote rahe, specially jab aap public place pe ya kaam par ho.
  • Khaanste or chhinkte time apne munh par Soft tissue or Rumaal rakh le. Uske baad tissue ko carefully dispose kar de.
  • Jitna sambhav ho sake unnlogo se door rahe jinko bird Flu hai. Yadi apko Flu ke lakshan mahsoos hone lage hai to aise me apko ghar ke andar rahna chahiye. Bahar bheed bhaad wali jagah jane se dusre logo me ye virus fail sakta hai.

Bird Flu Origin

In maamlo me 134 ghatak the. WHO ke anusar, 1997 me Hongkong ke ek jivit pakshi bazar me prakop(epidemic) ke baad manushyo me bird Flu hone ka pahla case saamne aya tha.

Yeh virus ka H5N1 nasl(strain) tha, and 18 Sankramit insano me se 6 ki bimari se mrityu ho gayi thi.

Kuchh saal baad, virus laut aya, jisse duniya ke vibhinn(different) hisso me kai log maare gaye aur sainkdo maanav maute hui.

Khaaskar, South-East Asia me. Aamtaur par infected jivit ya mrit pakshiyon ke sampark me aane wale logon me H5N1 bird Flu viksit hua hai.

Kya Ham Chicken Aur Ande Khaa Sakte Hain?

WHO ka kahna hai ki chicken aur ande khana safe hai, But, apko unhe achhi tarah se pakana hoga. Apko ande ke white aur Yellow parts ko puri tarah se pakana chahiye. 

Aur haan, agar aap Chicken paka rahe hain to temperature kam se kam 70°C hone chahiye . Yeh virus adhik Heat aur cooking temperature par khatm ho jati hai.

Maanav me iske spreading ko rokne ke liye, logo ko achhi tarah se pakaya hua food khana chahiye.

Kya Covid-19 aur Ye Dono Ek Tarah Se Failte Hain​?

Desh aur duniya me is samay Corona faila hua hai. Aur aise me bird Flu virus ki maar dohra sankat paida kar rahi hai.

Agar specialist ki maane to bird Flu ka avian influenza bhi covid ki tarah kai Samanta(similarities) rakhta hai.

Isme apne virus ko mute karne ki kshamta hoti hai, jisse kayi naye roop me yeh human body ko sankramit karta hai. Is virus ke mutation se panpa H7N9 virus abhi tak sabse dangerous saabit hua hai. 

Friends, Aisi hi Jankariyon aur Knowledge se bhare lekh padhne ke liye yaha aate rahe. I hope ke, apko ye article achha laga hoga. Then, is artice/Page ko Share, Subscribe and Follow karlo. Thank You 💐🌸💖

Leave a Reply