Sylvester Stallone ke sangharsh aur safalta ki kahani

You are currently viewing Sylvester Stallone ke sangharsh aur safalta ki kahani

Sylvester Stallone Success story:- Aapne Sylvester Stallone ka naam zarur suna hoga ya agar nahi to “Rocky” naam zarur suna hoga. Tabhi aap yaha is lekh ko padh rahe ho.

Agar phir bhi aapne nahi suna to koi baat nahi, yaha jaan jaoge. Ye American insaan, Hollywood ke bahut famous aur bade movie star hain, Jinhone Rocky naam ki Film me “Rocky” ka kirdaar nibhaya tha.

Unhe bahut sare log aaj bhi Rocky naam se hi pukarte hain. Aaj is baat ko yakeen karna mushkil hai, ki arbo rupiye ka maalik, gareebi, berozgari aur bhukhmari haalaat me din guzarte the. To chalo ab jaldi se, Sylvester Stallone ki prernadayak kahani jante hain.

Sylvester Stallone ka Sangharsh

Jab ye 17-18 saal ke the tab hi Inke andar Actor banne ki chingari lag chuki thi. Chingari aag me aisi badli ki inhone apni graduation bich me chhor di, aur California chale gaye. Lekin hazaro-lakho Actor ki tarah ye bhi ek struggling actor the. Inhe bhi bahut struggle karna para.

Inhone bhi baakiyo ki tarah bahut sare audition diye, thukraye gaye. Har baar rejection mili. Apne likhe patkatha(screenplay) ko bhi lekar studios ke chakkar kaate, magar safalta nahi mili.

Kaafi koshisho ke bad unhe 1974 me “The Lord of Flatbush” me ek break bhi mila par kuchh khaas fayda nahi hua.

Paise khatm hone lage the, ek samay aisa aagaya, ki majboori me inhe apni wife ka Jewar churakar bechna para. Haalat itne kharab ho gaye the ki ye ghar se beghar ho gaye. haan, unhe New York ke Bus stand par 3 raat guzaarna para.

Aise me aur koi hota to buri tarh se toot jata or koi bhi kaam karna start kar deta, apne sapne ko chhor deta. But, Sylvester Stallone ne aisa nahi kiya. Unhe to bas Hollywood me actor aur patkatha lekhak hi banna tha.

Jab makaan ka kiraya aur khane ke bhi paise nahi bache, to unhone apna aur wife ke khane peene ka intezam karne ke liye wo apna sabse pyaara kutta ko bechne ke liye nikal pare.

Sharab ki ek dukan ke paas khare hokar sabhi se jo wah se guzarta, unse kutte kharidne ke liye kahne lage. Badi mushkil se ek vyakti ne sirf 25$ me us kutte ko kharida. Wo batate hain ki jab wo apne pyare dog ko bechkar ghar ki taraf nikle, to wo raaste me bahut ro rahe the.

Ummeed ki ek kiran

Unki zindagi me har taraf andhkar hi andhkar tha, par kahte hain na ki har andhere ke bad roshni ka ek kiran Zarur aata hai.

Kutte ke bechne wali ghatna ke 2 hafte baad, Sylvester stallone March 24, 1975 ko Mohammad Ali aur Chuck Wepner ka boxing match dekh rahe the.

Source: YouTube

Jaise jaise match chal raha tha unki utsukta aur hairani badhti ja rahi thi. Kyuki wo dekh rahe the ki, Muhammad Ali jaise bade boxer se chuck Wepner haar hi nahi maan rahe the. Har baar ghoose khane aur girne ke baad bhi badi bahaduri ke sath date the.

Is ghatna ne Sylvester Stallone ko 2 tarah se bahut parbhavit(influence) kiya. Ek to ye ki, ye match unke jeevan se milti thi, kyunki wo bhi bure se bure haalaat me bhi haar nahi maan rahe the.

Aur dusra ye ki unhe, is match ko dekhte waqt, unke andar ka patkatha lekhak aur abhineta jaag gaya. Aur fir unhone ise ek patkatha or script ke roop me dhaalne ko socha.

Khud ko saabit karne ka mauka

Bas fir kya tha, Andhe ko kya chahiye? do aankh. waise hi ek patkatha lekhak ko kya chahiye? ek plot likhne ka idea. Jo unhe is match se mil gaya tha.

Josh aisa ki 20 ghante tak wo aalekh(script) likhte rahe aur pura likhkar hi dam liya. Aur ye script konsi thi, jante ho? Ye Rocky movie ki script thi.

Wo ise likhne ke baad itne utsaah se bhare hue the ki koi bhi ise haatho haath kharid lega. Lekin kaam abhi khatm nahi hua tha aur shayad sangharsh bhi.

Wo josh ke sath is script ko lekar bahut sare producers ke paas bechne gaye par jyadatar ne unhe pasand nahi kiya ya kisine pasand bhi kiya, to bahut kam paise dene ko taiyar hue.

Khair, kahte hain ki “heere ki parakh jauhri ko hi hoti hai“. Hence, aakhir me ek producer mila jo is script ke badle 125,000$ dene ko taiyar ho gaya. Lekin Stallone ki ek hi shart thi. Wo ye script tabhi bechenge, agar wo is movie ka main kirdaar Rocky use karne de to. Jo unke dusre sapne ko pura karti.

Lekin Studio ne mana kar diya, wo is kirdaar ke liye koi bade star ko lena chahte the. Unhone kaha ke “Bol-chaal aur dikhne me tum to vichitra dikhte ho, naak tedhe hain, chehra bigda hua hai, tumhe is character me koi dekhna pasand nahi karega”.

Sylvester Stallone ko is baat se kitna bura laga hoga, ye aap soch sakte ho. unhone apni script nahi bechi.

Halanki, Producer us script se parbhavit tha to usne unka pata aur contact number le liya tha.

Kuchh hafte baad, studio ne use pichhle rakam se doguna 250,000$ ka offer diya ke wo use script bech de.

Par Sylvester ne inkaar kar diya. Keemat badhte badhte 350,000$ tak jaa pahunchi.

Is kharab situation me koi aur hota to 125,000$(₹91 lakh) me hi maan jata lekin unhe to bas sapne pura karne ki aag thi. Unhone 350,000$(₹2.5 crore) jaisi bhaari keemat ko bhi naa kar diya. Aur ye baat 1975 ki hai.

Kyuki wo unki likhi movie chahte the naa ki unhe. But, wo to is movie me hona chahte the.

Aakhirkar, Studio ko jhukna para. Aur wo unhe Rocky ka role dene ko taiyar ho gaye par script ke liye sirf 35000$(₹25 lakh) diye. Sylvester bhi maan gaye, aakhir unhe paise se jyada apne sapne ko pura karne ki lalak jo thi.

Jaise hi unhe paisa mila jante ho unhone sabse pahle kya khareeda. Apna ghar? nahi. Wife ke gahne? nahi. paise milne ke baad wo bhaage bhaage usi sharab ke dukan ke paas gaye jahan apne dog ko becha tha. 3 din usi jagah intezar karne ke baad wo aadmi wahi kutte ke sath aata hua mila.

Unhone use kutte ko bechne ki majboori batayi aur use wapas dene ko kaha. Usne inkaar kar diya.

Unhone 100$ ka offer diya. Par wo aadmi nahi maana. Fir unhone 500$ ka offer diya, usne mana kardiya. Yaha tak ki 1000$ ko bhi usne naa kah diya.

Fir isi tarah wo naa karta raha, aur Sylvester offer badhate rahe. Aap maano ya na maano, jis kutte ko unhone sirf 25$(₹1800) me becha tha, uske liye 100$ se shuru hui baat jakar 15000$(₹11 lakh) aur Rocky film me ek chhote se role ke sath khatm hui. Rocky Movie me aap us aadmi aur kutte ko dekh sakte ho.

Sylvester Stallone ki Kamyabi aur shohrat

Rocky movie bani, release hui. Baaki sab itihaas hai. Ye us saal(1976) ki sabse badi hit saabit hui. Is movie ko Best Picture, Best Director aur Best Editing ke liye Oscar award mila. Hai na kamaal ki baat.

Sylvester stallone movie Rocky
Source: google

Fir uske baad, Sylvester Stallone ne pichhe mudkar nahi dekha. Unhone Rocky aur Rambo jaisi kamyab movie series ke sath aur bhi hit filme di.

Jo Sylvester kabhi apni raat aur din galiyon aur bus stand par guzara karte the, Majboori me wife ka gahna bechna para and apne kutte ko sirf isliye bech diya tha ki usko khilane ke liye unke paas paise nahi the.

Wahi aadmi aaj duniya ke bade movie stars me se ek hain. 400 million dollar (29 Arab Rupees) ke maalik hain. aur Oscar award me best actor ke liye nominated bhi ho chuke hain.

Unhone apne kabhi haar na manne wale Jazbe se lakho logo ko jabardast prerna aur himmat diya.

Kya aapke paas bhi koi sapna hai? Use lekar pura tarah clear ho? Kya sapne ko saakaar karne ka jazba hai?

Zindagi kathor(tough) hai. Mauka apke haath se nikal bhagegi kyuki aap koi nahi ho. Log aapke product ko kh chahenge, par aapme dilchaspi nahi lenge. Log aapka majak udayenge, aapko reject kiya jayega. Aapko kam samjha jayega.

Lekin isi waqt me apko majboot rahna hoga. apne upar aur sapne pe vishwas rakhna hoga. Chahe koi kuchh kahe ya kare. Aapko apne sapne ke pichhe lagatar mehnat karna hoga. Girkar uthna parega. Kabhi bhi haar na manna hoga.

Agar aap bhi us Jazbe ke sath koi kaam karenge, jaise Sylvester Stallone ne kiya tha, to aap bhi apne lakshya ko jald hi ya ek na ek din pura kar hi loge.

Mai duniya me sabse ameer ya sabse smart ya sabse jyada talented insaan nahi hun, lekin mai kamyab ho gaya kyunki maine aage badhne ka paryaas karna kabhi nahi chhora.

Sylvester Stallone

So, Dosto. Mai ummeed karta hun ki apko sylvester stallone ki sangharsh bhari life story zarur pasand ayi hogi. Apne sapne ko pura karne ke liye prerna aur junoon mila hoga. Agar apke pas bhi koi behtar kahani hai to aap mujhe email ([email protected]) kar sakte ho. padhne ke liye Thank you .

This Post Has 3 Comments

Leave a Reply