Sardar Vallabhbhai Patel Ki Jivani- Biography of Iron man

You are currently viewing Sardar Vallabhbhai Patel Ki Jivani- Biography of Iron man

Sardar Vallabhbhai Patel ki jivani:- Kya aapne Avengers series ki movie dekhi hai? Jarur dekhi hogi. Usme ek iron man bhi hota hai jinka character Robert Downey Jr. nibhate hain. 

Real iron man was sardar vallabhbhai patel.....Robert downey Jr as an Iron man
Source: Google

But, kya apko pata hai, original aur sabse pahle The Iron Man kaun the? Nahi. To mai batata hun………wo the Sardar Vallabhbhai Patel.

Ye Iron man us waqt the, jab Iron man character film me to kya, book me bhi janm nahi hua tha.

Ji haan aap unhe lau purush ke naam se bhi jaante hain, Lekin English me iska anuvaad Iron man hi hota hai.

  • Unhone desh ki aazadi ke liye kya kiya?
  • Unka janmdin Rahtriya ekta diwas ke roop me kyun manaya jata hai?
  • Sardar vallabhbhai patel ki jivani?
  • Wo kitne mahaan the jo Unke hi naam pe statue of unity banaya gaya?
  • Unhe lauh purush ke naam se kyu jana jata hai?

In sabhi sawal ka jawab, yaha aap janne wale ho.

Sardar Vallabhbhai Patel Ki Jivani– 

Wo Aazad bharat ke sabse pahle pardhan mantri ke itne bade dawedar the, ki Nationali Congress Party ki taraf se Sardar Vallabhbhai Patel & Nehru ji ke bich kiye gaye vote me, 14 vote Sardar Patel ko gaya aur sirf 1 vote Jawaharlal Nehru ko.

But, Angrezo ki raajniti, Jawaharlal Nehru ka Jid aur Mahatma gandhi ke ek galat faisle ke kaaran unhone apna naam dawedari se waapas le liya. And ye sunahra sapna sach na ho saka. Kaise? aage padhe.

Janm(Birth) 31 december 1875
Janm sthan Nadiad, Gujarat(India)
Rashtriyata(Nationality) Indian
Shiksha(Alma meter) Middle Temple inn, City London
Aayu(Age) 75
Pita Jhavar bhai
Maata Laadbai
Patni ka naam Jhaverbai {1891-1909 (her death)}
Rajnitik Party Indian National congress
Beta Dahyabhai patel
Beti Maniben patel
Pesha(profession) Vakil(Barrister), Raajneta, Karyakarta
Mrityu(Expire) 15 December 1950
Puruskar(Awards) Bharat Ratna(1991) [marnoprant]

Sardar Vallabhbhai Patel Ki Jivani(Vallabhbhai Patel’s Birth, Early life, Education, Family)

Vallabhbhai Patel Ka Jeevan Parichay:- Inka pura naam Vallabhbhai Jhaverbhai Patel tha, jinhe ham Sardar Patel ke naam se bhi jaante hain. Inka janm ek kisaan pariwar me hua tha. Jhaverbhai Patel aur Laadbai ke 6 bacho me se wo chauthe bache the.

Inke papa Jhaverbhai, 1857 ke vidroh me jhansi ki rani lakshmi bai ke army me the.

Inka janm diwas officially record me nahi hai. Lekin unke matric ke parman patra(Certificate) ke anusar 31th October 1875 ko nadiad ke jile kheda, Gujarat me hua tha. 

Wo apni school ki padhai karne ke liye Nadiad, petlad aur karamsad jate the. Lekin 1891 me, jab wo sirf 16 saal ke the to unki shaadi jhaverba se kar di gayi.

Ek aam insaan ki tarah Inke bhi kuchh lakshya aur sapne the. Yeh padhna chahte the, kuchh kamana chahte the, aur us kamayi se England jaakar waha padhai puri karna chahte the. 

Inhe kam umar se hi pareshaniyo ka saamna karna para. Paise ki kami thi, ghar ki jimmedari thi, Lekin wo dheere dheere badhte rahe. 

Shuruwati dino me inhe, ghar ke hi log bekaar aur naakara samjhte the.unhe lagta tha ki ye apni zindagi me kuchh bhi nahi kar payenge. 

Lekin ghar walo ko kya pata tha ki jinhe wo nikamma samajh rahe hai, wo aage chalkar up-pardhan mantri(Deputy Prime Minister) banne wale hai, aur india ki aazadi me mahatvapurna bhumika nibhane wale hain.

Inhone 22 varsh ki age me matric ki padhai puri ki. phir kai saalo tak ghar se door rahkar vakalat ki padhai ki. Iske liye unhe kitabe bhi udhar leni padti thi.

Is dauran naukri bhi ki aur apne pariwar ko paala bhi. Ek din wo lauh purush kahlane wale aur home minister banne wale hain, is baat se bekhabar ek aam insaan ki tarah badhte rahe.

Vallabhbhai Patel ke Jeevan me ek naya mod:- 

Inki patni mumbai(tab Bombay) ke ek hospital me admit thi. Jahan unka cancer ka ilaj chal raha tha. Ilaj ke dauran ek din unki mrityu (death) ho gayi. 

Is ghatna ke baad unhone dusre shaadi se inkaar kardiya aur apne bachho ko paalne aur achha bhavishya(future) dene ke liye mehnat me lag gaye.

36 saal ki age me England gaye aur Middle temple inn me padhne lage. waha 36 mahine ki padhayi 30 mahine me hi puri karli. College me top bhi kiya. Aur iske baad apne desh lautkar ahmedabad me ek kamyab barrister ke roop me kaam karne lage.

England se wapas aye the, isliye wo English kapde pahan ne lage,bol chaal badal gayi. Vesh bhusha European jaisi apnane lage.inka sapna tha ki, bahut paisa kamaye aur apne bacho ko behtar bhavishya de.

Wo rajneeti(politics) me interested nahi the. Halanki, 1917 me gandhi ji se ek mulakaat ne unke nazariye ko badal diya. 

wo Mahatma gandhi ke vichardhara (ideology) se bahut parbhavit hue. Is tarah dilchaspi na hone ke baad bhi wo dheere dheere rajneeti me ka hissa ban gaye.

Bhartiya aazadi aandolan me sardar Patel ka yogdaan(Role in the Indian freedom Movement)

September 1917 me, Bhartiya aazadi Sangram se judne ke baad unhone Borsad ke logo ko Gandhi ji ki aazadi ki maang ka sath dene ko prerit kiya.

Uske baad Sardar patel Indian national congress gujrat sabha ke secretary ke roop me jud gaye aur gandhi ji ke abhiyaan(campaign) me madad ki.

1917 me hi kheda jile me ek tarah ki mahamari pahil gayi.fir uske agle saal hi akaal(famine) pad gaya. 

Un dino, jyadatar bhartiyo ka krishi(farming) hi aamdani ka jariya tha. Fasal-anaaz(crop) nahi hui to unki aamdani bhi nahi hui. Fir bhi angrez sarkaar ne maalguzari kar(land revenue tax) maaf karne se inkaar kar diya.

Is musibatl ko dekhkar sardar patel ne gandhi ji ke sath milkar kisaano ko kar(tax) na dene ke liye prerit kiya. Fir kisaano me bhi josh aya aur wo bhi kar na dene pe ad gaye.

Jisse angrezi humumat ko jhukna pada aur kar maaf kiya gaya. Aur yeh thi pahli jeet sardar patel ki, kisano ki jise kheda aandolan ke naam se jaana jaata hai 

Ye har aandolan me gandhi ji ke sath khade rahe. Inhone aur inke pure pariwar ne western kapdo ko aag ke hawale kar diya aur angrezi samaano ka bahishkar(boycott) kiya. Aur khaadi ke kapde pahan ne lage.

Sardar Patel Naam Kaise Mila

Wo jagah jagah gaye.jisse unhone 3,00000 logo ko party ka member banaya aur us samay 15 lakh rupye ka fund ikatha kiye. Jab gandhi ji 1923 me jail gaye to unhone satyagrah aandolan ko lead kiya.

Apne buland hausle ke chalte inhone 1928 me Bardoli ne hue satyagrah andolan ko badh kar lead kiya. 

Yeh andolan Simon commission ke khilaf tha. Unhone ek to tax aur badha di thi aur upar se us saal bhi akaal padi, jisse kisaan tax nahi de paye. Angrezo ne unji zameene kabze me le liya.

Is Aandolan me kar badhane aur zameen kabza karne ka virodh kiya gaya tha. Vallabhbhai Patel ne kisano ko is tarah prerit ka ek kiya, ki unki ekta ko dekh British viceroy ko jhukna pada.

Is bardoli me hue satyagrah andolan ki wajah se Vallabhbhai Patel ka naam pure desh me lokpriya(popular) ho gaya. 

Logo me utsaah ki lahar daur padi. Bardoli ke logo ne unhe Sardar(Chief) kahna shuru kar diya. Jiske baad unhe Sardar Patel ke naam se jana jane laga.

Aazadi ke pahle aur baad 

Inki sabse badi taakat, bolne ki shakti thi. Jiski wajah se unhone logo ko ikatha kiya. Inke parbhaav ki wajah se ek awaaz par janta sath ho jati thi.

Inhone 1922, 1924 aur 1927 me ahmedabad nagar nigam me chunav jite. 1932 me unhe Bhartiya rashtriya congress ke adhyaksh(director) banaya gaya.

Isi tarah chalte-chalte jab dusra vishwa yudh(WW-2) shuru hua to Germany ne England par jordar hamla kiya jisse unki arth vyavastha (Economy) buri tarah kharab ho gayi. 

Pahle to Gandhi ji aur sardar Patel ke aandolan aur fir Economy kharab hone ki wajah se wo ab india pe jyada din raaj nahi kar sakte the. Isliye unhone jate hue bhi phoot(disunity) dalne ki sochi.

Angrezo ne Ali Jinnah ko musalman ka alag mulk, Pakistan banane aur Jawaharlal Nehru ko pardhan mantri banne ko uksaya.

Kisi tarah Jawaharlal Nehru aur Mohd ali Jinnah ke aapsi matbhed ke karan Pakistan to banna hi tha. Ab bachi india ka pardhan mantri banne ki to 98% log chahte the ki Patel hi P.M bane.

Lekin Jawaharlal Nehru ke jid aur congress ko todne ki baat se gandhi ji ne sardar Patel ko is dawedari se apna naam wapas lene ko aagrah kiya.

Gandhi ji ki baat maante hue unhone apna naam wapas liya aur aazadi ke baad india ke pahle Deputy Prime Minister aur grih mantri(Home minister) bane.

Vallabhbhai Patel Ko “Lauh Purush” Kyun Kaha Jata hai(Why Sardar Patel is Known as “Iron Man”)

Jab india 15th August ko aazad hua. To desh ki haalat bahut gambhir thi, naazuk thi. Kyunki ek to pahle Pakistan, India se Katkar alag ho gaya.

Aur dusra ye ki, Us samay india ka har rajya/jila(state/district) ek riyasat hua karti thi. Matlab ke ek aazad desh ki tarah. Us samay aisi 565 riyasat thi, isse pahle ki wo bhi alag hote, ise milana bahut jaruri tha. 

Ye kaam bahut kathin(hard) tha. 200 saal ki gulami ke baad aazad hone par koi bhi riyasat ka raja ab kisi bhi tarah ki adheenta ke liye taiyar nahi tha. Lekin Sardar Vallabhbhai par sabko bharosa tha.

Unhone sare riyasato ko rashtriya ekikaran ke liye badhya(obliged) kiya aur bina kisi khoon kharabe, Ahinsa ke sath sabhi riyasato ko desh me mila liya.

Lekin 3 rajya iske liye taiyar nahi hue – Junagadh, Jammu Kashmir aur Haidrabad. To unhe aakhir me majboor hokar sainya bal(arm force) apnana para. Aur akhirkar ye teeno riyasat bhi india me mil gayi.

Is tarah Irade ke pakke Sardar Vallabhbhai Patel ki Jordar koshisho se swatantrata (independence) ke kuchh hi mahino me hi 565 riyasat bina kisi khoon kharabe ke bharat me aa mili.

Is asadharan(extraordinary) kaam ke liye unhe Lauh Purush naam diya gaya.

Iske liye Mahatma Gandhi ne unke bare me kaha ki, Ye Kaam sirf Sardar Patel hi kar sakte the. Unka naam aur kaam ki charcha pure duniya ke akhbaro me hui.

India kya pure world me bina kisi hinsa(violence) ke desh ke ekikaran ki misaal nahi milti hai. Inki tulna world ke mahaan logo me ki jane lagi. Unhe “India ka Bismark” bhi kaha jane laga.

Kaha jata hai ki agar unko pardhan mantri banaya jata to Pakistan aur China jaise haalat itna bada roop nahi le pate. Wo itne paripakv (mature) the ki wo letter ki bhasha padhkar hi likhne wale ke man ke bhav samajh jate the.

Unhone kai baar Nehru ji ko bhi China ke prati satark(aware) kiya, lekin Nehru ne unki ek nahi suni. Aur iska result to aap jaante hi ho — India aur China ka Yudh(War).

Sardar Patel aur Nehru ji dono halanki gandhi ji ki vichardhara se preriit the. Lekin in dono ki soch me aasmaan zameen ka antar tha. Patel ji ek saadharan mitti se jude(down to earth) hue vyakti the. Wahi Nehru ji ameer gharano se the.

Jo Nehru ji bas sochte the wahi kaam Patel ji wo kaam aise hi kar guzarte the. Padhai likhai ki baat ho ya manviya vyavhar (Human Psychology) dono me Sardar Patel, Nehru ji se bahut aage the.

Sardar Patel ki Mrityu(Sardar Patel’s Death)

1948 me jab gandhi ji ki hatya ki gayi to isse Sardar Patel ko gahra dhakka laga. Aur unhe kuchh mahino baad heart attack hua. Jisse wo ubhar nahi paye aur 15th December 1950 ko wo is duniya ko alvida kah gaye.

Sardar Patel Ko Sammaan(Honour For Sardar Patel)

Sardar Patel ko marnoprant(Posthumously) 1991 me india ka sabse bada samman Bharat Ratna se sammanit kiya gaya.

Unke sammaan me bahut sare Hospitals, Colleges, aur Institute khole gaye. Airport, Stadium aur Dharmshala ko unke naam pe rakha gaya.

Rashtriya Ekta Diwas(National Unity Day)

Pardhan mantri Narendra Modi ne 2014 me har saal 31 October ko rashtriya Ekta Diwas manane ki ghoshna(declaration) ki thi. Is din sardar Patel ka janmdin hai, isliye unko isi din shradhanjali ke taur par ye samman diya gaya.

Ekta ki Partima(Statue of Unity)

Unhone Sardar petel ko samarpit karte hue Gujarat me 182 meter unchi duniya ki sabse unchi murti banaya. Jise Ekta ki Partima naam diya gaya.

Yeh Vadodara ke paas Sadhu bet se 3.2 km door Narmada baandh ke samne banayi gayi hai. Ise banane me 29.2 arab rupye ka kharch aya.

Jab janta ek ho jati hai tab uske samne Zaalim se zaalim shashan bhi tik nahi sakta. Isliye jaat-paat ke, unch-neech ke bhedbhav ko bhulakar sab ek ho jaiye.

Sardar vallabhbhai patel 

So, dosto aasha karta hun ki, apko Sardar Vallabhbhai Patel ki jivani jarur pasand ayi hogi. Lekh ko share kardo, taki jyada se jyada log jaan paye . Koi feedback dena chaho to Email, message or comment ke jariye aap de sakte ho.

Leave a Reply