Gaadi kharab: Agar apke paas bhi koi bike, car ya kisi tarah ki gaadi hai ya aap lene wale bhi ho then, ye article apke liye hi hai.
Kisi State Highway, National Highway ya koi aam road ke sunsaan jagah par agar apki gaadi kharab jaye ya band ho jaye to ye janna apke liye bahut jaruri hai.
Sunsaan ilake me agar din me or raat me gaadi band(Car breakdown) ho jaye to in dono sthitiyon(situations) me kaafi antar hai.
Mai in dono hi situations ko dhyan me rakhkar aur behtar jawab aur sujhaav dena chahunga.
Agar din ke samay me kisi sunsaan ilake me gaadi kharab ho jaye to in mahatvapurna baato ka dhyaan rakhe.
>>Agar waqt din ka hai aur apki gaadi achanak se kisi sunsaan ilake me band ho jaye to:-
1) apke aaspaas ka mahaul dekhkar hi gaadi se bahar nikle.
Yadi, aap chhoti-moti problem ko thik karna jante ho to apko thik kar lena chahiye.
apki gaadi achanak se band ho gayi hai par apko nahi pata ki yeh kyun hui hai to aksar log ye galti karte hain ki wo gaadi se bahar nikal kar bonnet(gaadi ka aage ka hissa) kholkar check karte hain, ki kis wajah se aisa hua.
Kai baar gaadi ka engine ke jyada garm hone ki wajah se bhi on nahi hota. To is tarah ki chhoti-moti dikkato se to aap khud bahar nikal sakte hain.
2) And Agar problem badi hai and aapne koi roadside assistance service le rakhi hai to apko us service company wale ko phone kare.
Wo log apke phone karne ke kuchh hi samaya baad service dene aajayenge. Tab tak apko gaadi me hi baithna hi safe rahega.
3) Aur agar apke aaspaas ka mahaul ka mahaul thik nahi lag raha hai to sabse pahle aap jis state me ho us state ki police ke 24 hours dial service number par phone karna chahiye.
Agar apke paas number nahi hai to internet hai na, ghabrane ka nahi…turant google pe search karke nikal le.
>>Ye to hui din ki baat but, yadi apki gaadi raat ke samay me kahi veeraan ilake me band ho jaye tab apko thori jyada savdhani baratne ki zarurat hai.
Because, raat ke samay me aise jagahon pe chori aur lootpaat jaisi chize jyada hoti hai. Isliye sabse pahle 5 se 10 minute tak gaadi ke andar baithkar charo taraf ke mahaul ko samajhne ki koshish kare.
1)To aisi sthiti me aap gaadi se bahar na nikle aur koshish kare ki gaadi kisi kinare tak khadi kar sake jab tak woh band ho rahi jab tak wo band hone wali ho taaki kisi ko aisa na lage ki yeh gaadi kharab hai, isliye ye vmbeech sadak par khadi hai.
Kyonki, sadak pe bich me khadi rahne ki wajah se yeh sabki nazar me aayegi jo ki apne apko “aa bail mujhe maar” jaisi museebat me daalna hoga.
Ab aap jald se jald apne nazdeeki ya priya jano ko madad ke liye bula le aur jab tak wo nahi aa jate tab tak gaadi ke andar hi rahe.
Kyunki apke aaspaas koi bhi help ke liye nahi hai and agar koi ho to apko nahi pata ki wo kaun hai aur uski niyat kaisi hai.
Jab tak madad ke liye koi nahi aata tab tak gaadi ke andar hi band surakshit baithe. Aur andar baithe hi charo taraf kuchh upaay soche.
2) Agar apko mahaul sahi lage to gaadi se utarkar chhoti-moti samasya ko thik karo.
Aur yadi gaadi me problem jyada hai aur apne road assistance service le rakhi hai to unki phone karna chahiye.
Wo log service pradaan karne ke liye jald hi apke samne upasthit honge. Tab tak gaadi me hi rahe.
3) Aur agar mahaul jyada kharab dikh raha hai to us rajya ke police number pe call karo.
Pahle intezaam sahi nahi thi. But, aajkal to highway par har 60-70 km ke bich ek police ki patrolling gaadi maujood rahti hai.
Aur wo sabhi help ke liye turant hi haazir ho jate hain.
And agar apki gaadi apke ghar se 100-200 km ki doori pe kharab hui hai to wahan ki situation ki hisaab se aap apne gharwalo ko phone kar bula sakte ho.
Bahut kaam ki baat(Gaadi kharab hone par):-
** Agar aap Car chalate hain aur baar baar akele hi yaatra karte hain to apni Car Manufacturing company se road assistance service avashya le.
Jyadatar gaadiyon ke liye ek saal ka charge service 1500 se lekar 4000 rupye tak lagta hai. Lekin, 24×7 suvidha available hoti hai. Pure desh me, kisi bhi samay.
Chahe petrol khatm ho gaya ho ya gaadi hi kharab ho gayi ho koi na koi us company se help ke liye aayega hi.
**Agar apko jyada khatra mahsoos hone lage to kripya SOS number ‘112’ ko dial karde. Jisse nazdeeki police station ko apki last location pata chal sake.
**Aap apne pariwar aur priyajano ka number emergency message ya call pe rakhe jisse ek baar dial karne par unko pata chal sake.
**Ek aur chiz kar sakte hain, apni location WhatsApp pe share karde aur khatra feel hone pe data aur location ko on karde. Isme se koi ek bhi chiz kaam kar jati hai to apko bahut madad mil jayegi.
>> Yadi aapko akele ya driver ke saath bhi, apni gaadi se bahut yatra karni padti hai aur upar bataye gaye sthiti or situation me aaye hi na, iske liye avashya hi ye tips & tricks try karein:
Tips & Tricks:-
1st: Gaadi banane wali company (ya dusre agency se) 24×7 on road assistance kharid kar rakha jaye.
2nd: apni gaadi ki samay par hamesha service karana kabhi na bhule.
3rd: Tire, battery, jara se bhi kamzor hota maloom ho to turant hi naye le lein.
4th: radiator ka har 3 mahine me leakage wagairah uski tubes aadi, fan belt aadi ko check karwate rahein aur kabhi bhi laparwahi na karein.
5th: Apni gaadi ki headlight, tale light, indicator, horn e.t.c ko hamesha bilkul achhi haalat me rakhe.
6th: aur sabse zaruri:- Engine, oil, brake oil ko kahin bhi jane se pahle check zarur karle.
Yadi, aap in sabhi baato ka khayal rakhenge to 99.99% chances hai ki apki car, bekaar nahi hogi or apki gaadi kharab nahi hogi!!
Dosto, apko ye lekh kaisa laga ya kisi bhi tarah ka feedback dena ho to comment or e-mail ke jariye bataye. Apni zindagi badalne ke liye Is Blog ko Follow/subscribe bhi karle & also share bhi karein. Cause:
💖Sharing is Caring💖