30 Facebook Ke Dilchasp Tathya- Amazing Facts of Fb

You are currently viewing 30 Facebook Ke Dilchasp Tathya- Amazing Facts of Fb

30 Facebook Ke Dilchasp Tathya- 

Facebook ke dilchasp tathya:_ Aapko ya aur logo ko Book se lagaav ya use kholne ki chahat ho ya na ho, Lekin Facebook kholne ki chaah aur aadat sabhi ko hoti hai.😀😁

Ye chaah kab aadat me badal gayi pata hi nahi chala. Aur aaj pure duniya me dhaai(2.5) Arab se jyada log Facebook chalate hain.

Jo ise #1 social networking site me shumaar karta hai. Google aur YouTube ke baad sabse jyada use kiye jane wali site Facebook hi hai.

Facebook ek aisi jagah hai, Jahan aap apne ex,crush or love ko chori chhipe dhundhte/dekhte firte ho. Or apne best friend se baate kiya karte ho, apni yatra aur chhuttiyon(Vacation) ki tasveero(photos) ko post karte ho.

To chalo yaar ab Facebook ke 30 Anjane Dilchasp tathya ko jante hain, jise bahut kam log jante hain. Ise apne dosro/rishtedaro ke beech me batakar apni izzat ko 20% aur badha sakte ho. 😃😊

30 Facebook Ke Dilchasp Tathya

1. Facebook banane ka idea, sabse pahle bhartiya mool ke american Narendra yadav ko aya tha. unhone 2002 me apne 2 dosto ke sath milkar is project pe kaam karna shuru kiya.

iski puri format aur avdharna(concept) wahi thi jispe aaj facebook kaam karti hai. Mark zuckerberg pe sabse pahle is idea ko copy karne ka muqadma divya narendra ne hi kiya tha. (Source)

divya narendra sabse pahle facebook ka idea
Source: google

Jise bad me zuckerberg ne kuchh dosto ke sath milkar Harvard ke official computer ko jabardast tarike ki hack karke sabhi chhatra(students) ke photos ko ikattha kar liya aur ek website ka nirmaan kiya jise “Facemash” ka naam diya gaya.

Then, uske baad ise aur behtar banaya, chize daali, programming ki aur 4 February 2004 ko unhone Facebook launch kiya.

2. Aaj jise aap sirf fb ya Facebook ke naam se jante ho, uska naam pahle “Facemash” tha fir TheFacebook hua. Launch hone ke 24 ghante ke andar hi 1200 user isme register ho chuke the.

3. Facebook ko banane ke bad, uska pahla logo me jo vyakti the, wo Mark Zuckerberg nahi, balki hollywood ke mashhoor actor Al-Pacino the. jise unke dost aur sahpathi (classmate) Andrew McCollum ne banaya tha.

facebook ke dilchasp tathya- first face of facebook al pacino
Source: google

4. Kya apko pata hai, Facebook ke logo, site, app, page e.t.c ke blue hone ke pichhe kya raaz hai? Kyunki Mark Zuckerberg red-green color blind hai.

Matlab, unhe laal aur hare rang me antar nahi pata lagta hai. Aur achhe senahi dekh pate hain. Wo neele rang ko hi achhe se dekh pate haun.

5. Facebook par har din 6 lakh se jyada hacking attack hote hain lekin fir bhi koi ise abhi tak hack nahi kar saka. Isme kaam karne wale employees ki sankhya 35,000 hai. Jo hamesha iski jaanch, dekh-bhaal e.t.c karte rahte hain Shayad isi wajah se.

6. Shayad aap janna chahte honge ki Facebook ke CEO Mark Zuckerberg ki tankhwah(salary) kitni hai? To mai bata du, Sirf $1 dollar Saalana(yearly). But, fir bhi wo 96 arab dollar ke sath duniya ke chauthe sabse ameer vyakti hain. Paisa kamana haath ka mail hai unke liye, wo rozana sabse jyada $4.4 M(29 karod rupye) kamate hain. wahi bill gates rozana $3.5M (23 karod rupye) hi kamate hain.

7. Facebook ke rochak tathya me ye bhi hai, ki har mahine Facebook pe 2 Arab se jyada active user aate hain. Ispe 9 karod se jyada farzi(fake) profile hai. Jisme sabse jyada bhartiya ke hain. Isme se ek apka bhi ho sakta hai.😋

8. America me ek tihayi(⅓) logo ke talaak ka jimmedar Facebook hai. Jo ise desh me divorce ka sabse bada Jad(Source) banati hai. To bhaiyo aur behno,iska upyog thoda sambhalkar kare 😜.

9. Aap Facebook pe kisi ko bhi block kar sakte ho, apne aap ko bhi. But, iske maalik Mark Zuckerberg ko block nahi kar sakte ho.

10. Facebook pe har minute 1 lakh 60 hazar message bheje jate hain, 1 lakh 36 hazar photos upload, 5 lakh 40 hazar tippaniyan (comments) aur 3 lakh story update kiye jate hain.

11. Ek blogger ne apne apko prerit karne and iski lat/aadat se chhutkara pane ke liye kaam pe ek mahila(lady) ko sirf isliye rakha tha, ki jab bhi wo facebook istemaal kare, then wo aurat us blogger ko thappad maare.

12. Google ki hi tarah Facebook bhi apki har gatividhiyon(activities) pe nazar rakhta hai, chahe aap log out hi kyun na karle. Aap log out karne ke baad kaunsi website chalate hain, ispar bhi fb ki nazar rahti hai.

13. China, Syria, Vietnam, North Korea aur Iran ne Facebook ko ban kar diya hai. Jab China ne 2009 me Facebook ko ban kiya to ek hi din me sadhe nau karod(9.5 crore) upyogkarta (users) ghat gaye the.

facebook ko ban karne wali country- facebook ke dilchasp tathya
Source: google

14. Facebook ki dilchasp tathya me se ek ye hai ki Facebook ki madad se Iceland country ne 2011 me apna sanvidhan (constitution) banaya tha.

15. Apko shayad nahi maloom hoga, ki Facebook apne har upyogkarta(user) se 5.85$ kamata hai. And, har second me ispe 5 naya profile banaya jata hai.

17. WhatsApp ki prasiddhi(popularity) ko dekhte hue 2014 me Zuckerberg ne 19 billion dollar(1 lakh 41 hazar karod rupye) me WhatsApp ko kharid liya.

18. Facebook pe kai visheshta(features) ki tarah ek “Poke” bhi hai.

Facebook ke dilchasp tathya- facebook poke
Source: Pinterest

Lekin agar aap iska matlab puchhnenge to shayad hi koi iska matlab bata paye. Kyuki khud Facebook ne bhi iska koi matlab ya kaam tay nahi kiya hai. Lekin iska jyada use karne se aap block ho sakte ho.

19. Agar Facebook ka server down ho jaye to isko har minute 25 hazar dollar ka nuksaan hoga.

20. Har upyogkarta ausatan(average) 22 minute pratidin(everyday) Facebook pe kharch karte hain. hai na ye facebook ke dilchasp tathya.

21. Har minute 20 lakh se jyada baar Like button ko dabaya(press) jata hai. Ek aur tathya batata chalu, fb ke “Like” button ka naam Zuckerberg pahle “Awesome ” rakhne wale the.

22. Facebook sirf Hindi, English ya kuchh chuninda bhasha me hi nahi chalti, ise user 70 alag alag bhashaon me fb page ko translate kar sakte hain.

23. Aapne jis data/text ko likha ya type to kiya, par use kabhi post nahi kiya to kya aap soch sakte hain ki us message ya text ko bhi koi padh sakta hai? Ji haan, Facebook ne ek aisi team banayi hai jo aise data ko analyse karti hai, jo aapne type to kiya lekin kabhi post nahi kiya.

typing text on facebook
Source: google

24. Facebook duniya ki sabse bahumulya(valuable) brand me 95 arab dollar ke sath 4th number pe hai.

25. Duniabhar me 20 karod log facebook lite application ko use karte hain. Jo duniya ke sabse slow connection hone ke bawajood chalne ke liye banaya gaya tha.

26. Facebook page pe Mark Zuckerberg ke page tak pahunchne ka ek shortcut bhi hai. Agar aap Facebook ke URL ke aage 4 likh kar(https://facebook.com/4) enter/search press kare to apka browser sidha unke page pe redirect kardega.

27. Ek survey ke anusar, ek smartphone user dinbhar me 16 baar Facebook kholkar check karta hai.

28. Facebook ke 30 anjane dilchasp tathya me se ek ye hai ki, fb ki pahli mahila engineer India ki ruchi Sanghvi hai.

facebook ke dilchasp tathya- ruchi sanghvi facebook ki pahli mahila engineer
Source: Punjabkesari

29. Yadi, Facebook ek desh hota to duniya me yeh paanchava(5th) sabse bada desh hota. Jinka number China, India, America aur Indonesia ke baad aata.

30. Ek aur ansune tathya ye hai, ki facebook.com domain ko 23th August ko register kiya gaya par kya aap jante hain, ki Is domain ko mark Zuckerberg ne 200000$(1 karod 41 lakh) me kharida tha.

Facebook ke 30 anjane dilchasp tathya ko jankar apko kaisa laga, ye comment/e-mail karke bataye. Aur ise kisi se bhi share jarur kare. Cause,

      ❤️sharing is Caring❤️

Leave a Reply