Table of Contents
Unlimited paisa chhapkar sarkar sabko ameer kyon nahi banati :-
Jab mai chhota tha….yahi koi 8-9 saal ka raha hunga. Mai kabhi-kabhi sochta tha, Jo paise chhaapte hain, wo us paise chhaapne wali machine se,sarkar Unlimited paisa kyun nahi chhaapti hai. Jisse kisi ke paas paise ki kami na ho.
Kabhi sochta ki, note chhapne wali machine se manchaha paisa kyun nahi chhapte hain. [Jis tarah aaj Jio unlimited data deti hai……Ok, Ok, sirf 1.50 gb 😉 ].
Mujhe ummeed hai ki Aaplogo ke man me bhi ye sawal kabhi na kabhi jaroor aya hoga, ki sarkaar paisa chhapne wali machine se Unlimited paisa kyon nahi chhapti.
Isse gareebi aur berozgari bhi door ho jayegi. koi bhookha nahi soyega. Sab khushi khushi rahenge.
Jawab ye hai:- Unlimited paise chhapne se garibi khatm bilkul nahi hogi, balki aur badhegi.
Aap sochoge ki kya bewakoof ladka hai, paisa badhne se to garibi kam honi chahiye! Ulta wo badhegi kaise?
Yahi to arth-shastra(Economics) ka kamaal hai. Aap ise jitna padhoge, utna hi parbhavit honge.
Aage badhne se pahle mai ek baat clear karna chahunga:-
- Actually, Notes(paper-money) ki apni koi asli mulya(price) ya value nahi hoti hai, balki Chizo ki hoti hai.
For Example– India me 08/11/2016 ko raat 8:15 baje ₹500 aur ₹1000 ki keemat zero(0) ke barabar ho gayi thi. Ji haan ye baat Notebandi ki raat ki hai.
- Chizo ki Keemat uske jarurat, mahatvata, maang(demand), parti vyakti aay(Per capita income) e.t.c pe nirbhar karta hai.
Misaal ke taur par Kalpana karo, ki aap ek sunsaan door registaan(desert) me hain aur apko bahut pyaas lagi hai aur is registaan me sirf ek hi dukaan hai jispe paani ki botel milti hai. To aap us haalat me kya karoge? Keemat se jyada rupye doge.
Maan lo ki aap ek subah uthte ho aur apko, mujhko aur ham sabhi ko sarkar jyada note chhapkar ek-ek baksa(briefcase) de dete hai, ₹2000 ke noto se bhara!
Ham sab us rupye ka kya karenge? Aap naukri chhor doge aur ghar pe baithoge.
Ham jaise sabhi kaam karne wale naukri wale, shadi-shuda log ghar pe rahenge. Isliye sabhi companies, karkhane(industries), business band ho jayenge aur sabhi sewaye thap ho jayegi.
Ya fir aap us paise ka:-
- Bachat karke nivesh(invest) karenge
- Apni zarurate aur shauk ko pura karenge.
Maanlo ki aap aur kuchh log bachat/nivesh karte ho. To is situation me banko me rupye ka parwah(flow) adhik ho jayega aur ant me bank byaj dar kam kar degi. Apki aay aur keemat kam hogi.
Ab maanlo ki, aap sab apne rupye kharch karne ke liye dukano pe jate hain. Wahan pe aur bhi log hain jinhe chize chahiye ya kharidni hai.
Is haalaat me dukandar ke paas chizo ki kami ho jayegi. Aur akhir me chize mahngi bikegi aur apke paise ki keemat kam hogi.
Is tarah ab apko ek baat achhe se pata chal gayi ki “keemat” chizo ki hoti hai naa ki rupye-paise ki. Mudraye(currency) sirf ek maadhyam ya jariya hoti hai, bas.
Aasaan bhasha me Unlimited paisa na chhapne ki wajah:-
Maan lijiye ek desh me 10 log hain, aur har vyakti ke paas ₹100 hai. Matlab, 10×100 = 1000 rupye total hain aur us desh me khane ke liye 100 kg chaawal hai.
Matlab un 100 kg chawal ki keemat ₹1000 hai. 100 kg chawal ko ₹1000 me kharida ja sakta hai.
Maan lo, us desh ki sarkaar ne bahut sare notes chhaap diye to jyada note chhapne se kya hoga?
Pahle Jin vyaktiyo(person) ke paas 100-100 rupye the, ab har vyakti ke paas 1000-1000 rupye honge.
Yaani ki, total vyaktiyo ke paas ₹1000×10 = ₹10000 ho gaye.
To aap dekh sakte ho, jis anupaat me paise chhape gaye usi anupaat me samano ki keemat badhti jati hai. Kyunki, badh to sirf currency rahi hai. Chize/vastuye to utni hi hai.
Matlab ki, pahle wahi 100 kg chawal ₹1000 me aajata tha. Ab wahi ₹10000 ho gaya.
Sarkaar jitni adhik paisa chhapegi. Us desh me utni hi mahngai jyada ho jayegi. Har ek insaan ke paas adhik paise ho jayega.
Jisse uski kharidne ki chhamta(purchasing power) badh jayegi. Lekin usi tarah chizo aur sewaye ki dar (goods & services rate) bhi badh jayegi.
Is pure condition ko ham mudra-sfiti(money inflation) bolte hai. Jise aapne bhi kai jagah se padha aur suna hoga.
Aisa nahi hai ki, zarurat se jyada paisa chhapne ki koshish kisi ne nahi ki. Duniya me 3 desh aise hain jinhone yeh galti ki hai aur unhe iska khamiyaja bhi bhugatna para hai.
GERMANY
Sabse pahla desh hai Germany. 1914-18 tak chale pahle vishwa yudh(world war) ke baad Germany ki haalat khasta ho gayi thi.
Yudh ki zarurate pura karne ke liye germany ne bahut se desho se karza le liya tha.
Magar yudh me buri tarah se haar ke baad, wo karz chukane me asafal raha. Germany ne socha ke ham bahut sara paisa chhapkar apna karz utaar lenge, simple!
Bas fir germany ne yahi kiya aur usne dher sare paise chhap diye. Jiska natiza ye hua, ki wahan ki mudra ka avmulyan(devaluation) ho gaya.
And waha ki mahngai aasmaan chhune lagi. Wahan ke paise ki keemat nahi rahi. Fir uske baad ye hua:-
ZIMBABWE
Baat November 2008 ki hai. Africa ke Zimbabwe me bhi kuchh karan se haalaat kharab hui to, waha ki government ne khoob sara paise chhap diya. Jiska nateeza ye hua ke zimbabwe dollar ka avmulyan hazaro guna badh gaya.
Ab logo ko bread aur ande jaise chizo ko kharidne ke liye bhi bag bharkar paisa le jana parta tha. Photo me dikhaya gaya bachha, ek chocolate kharidne ja raha hai!
Kyunki currency jyada chhapne se waha ke paise ka avmulyan itna ho gaya, ki $1 American dollar ki keemat 2.5 crore Zimbabwe dollar ke barabar ho gayi.
Itihaas me is ghatna ko Zimbabwe ki ati mudra-sfiti(Hyper inflation) ke naam se jana jata hai.
Mudra ki girti sthiti ko dekh, waha ki sarkaar ne 2,00,000(2 lakh) Zimbabwe dollar ke note bhi chhapna shuru kar diye.
Lekin mazedar tathya ye hai ki itna bada note ki keemat sirf ₹2 ke barabar thi.uske baad 22 December ko unhone 5,00,000(5 lakh) dollar ke note ko bhi bazar me le aye.Uske baad 7.5 lakh dollar ki note bhi chhapi.
Lekin Zimbabwe sarkar ki bewakoofi yahi tak nahi ruki. January 2009 me to had karte hue, 10 million(1 crore) aur 100 million(10 crore) ki note bazar me le aayi.
Aur maje ki baat to ye thi ki ye ₹500 rupye ki note bhi is 1 crore dollar ke note se 10 guna jyada keemti thi.
Matlab ki agar apke paas 50 Arab Zimbabwe dollar honge to bhi uski india me keemat ₹10000 rupye ke aaspaas hi hogi. Matlab naam ke Arab pati Lekin sach me bolo to hazar pati.
Dekho ye shirt kitna sasta hai na. Keemat kewal 3 Arab dollar 😃.
Apko ab yakeen nahi hoga:- akhir me aayi duniya ki 3 sabse badi note:- 100 Arab, 100 kharab aur 1000 kharab(100 trillion) ki note.
Lekin apko maloom hai ke, is 100 Arab dollar se Zimbabwe ki janta sirf 3 ande(egg) hi kharid sakte the.
Jab bhi koi desh murkhta kar manchaha, dher sara paisa chhaapte hai to uska haal “zimbabwe” ki hi tarah hota hai.
VENEZUELA
Abhi Zimbabwe is bure daur se nikla bhi nahi tha, ki 2nd June 2010 ko South America ke Venezuela me samajik, arthik aur rajnitik sankat aayi, jisse wahan ke central bank ne arth-vyavastha ko sambhalne ke liye dher sare note chhape.
Hairaani ki baat ye hai ke, Zimbabwe se seekh na lekar, is desh ne bhi 1 crore aur 1 kharab ke note chhap diye. But, in sabke bawajood log bhukhe so rahe the.
Khane pine ki chize bahut jyada mahngi ho gayi thi. Sirf 1 piece kela kharidne ke liye unhe 50 lakh rupye kharch karne padte the.
Supermarket nahi khul rahi thi. Har vastu ki keemat lakho-karodome thi. Har saal mahngai 10 lakh guna badhne lagi thi. Jyada currency chhapne ki wajah se yaha ki mudra boliver ki value America dollar ke mukable gir gayi thi.
Ab aap samajh gaye hoge ki, khub sara paisa bazar me aaya to mahngai badhegi aur rupye ka mulya(value) kam hota jayega.
Iran jaise desh me chai ka bill hazaro me hota hai. Kyun? Kyunki wahan ke bazar me note bahut jyada hai.
Kisi bhi desh me kitne note chhapne hai, ye us desh ki sarkar, kendriya bank(central bank), GDP aur vikaas dar ke hisaab se decide kiya jata hai.
Isliye unlimited khub sara paisa chhapa nahi ja sakta. Hamare desh India ki baat kare, to ye Reserve bank of india (RBI) tay karti hai ki kab aur kitne paise print karne hain.
So, sathiyo. Ab aap achhi tarah se samajh gaye honge ki sarkar khub saara paisa or Unlimited paisa chhapkar sabko ameer kyon nahi bana deti hai.
Agar apko achha laga to aage dosto, family ko share karo. Apke man me koi sawal ho to aap e-mail or comment ke jariye puchh sakte ho. Swagat hai apka. Shukriya! 🌞