Duniya me 3 khel Football, Cricket aur Tennis me se kam se kam ek ko to sabhi jante, khelte, dekhte ya uske bare me baat karte hain.
To chalo ham aaj baat karte hain Cricket ki. Cricket me kuchh pakka nahi hota hain. kab match kidhar badal jaye ye koi nahi kah sakta hai.
Aaye din kisi na kisi chizo me sanyog(coincidence) dekhne ko mil hi jata hai. Usi tarah, Cricket me bhi hote hain.
Chalo dekhte hain, Cricket ki duniya ke kuchh rochak tathya aur usme kya kya sanyog hue hain. Jise padhkar aur dekhkar apko aaj sach me maja aane wala hai.
Table of Contents
Cricket ke Sanyog aur Tathya
- 11-11-11 ko 11:11 baje South africa ko jeetne ke liye 111 run chahiye the. Ye kitna rochak aur majedar sanyog hai, hai na?
- Cricket ka pahla test match 15 march 1877 ko melbourne me Australia aur England ke bich khela gaya tha. Jisme australia 45 run se jeeta tha. Hairani ki baat ye hai ki, thik 100 saal baad 15 march 1977 ko inhi dono desh ke bich shatkiya match(centenary test), pahle test ki yaad me khela gaya aur isme bhi australia jeeta, wo bhi 45 run se hi.
- Virendra sehwag ka cricket ke teeno format me, highest score kuchh is tarah hai:-
T20 me — 119
One day me — 219
Test me — 319
Hai na maje ki baat.
- Indian spinner B.s Chadrasekhar aur Newzealand ke tez gendbaaz Chris martin ne test me jitne run banaye hain, usse jyada wicket liye hain. Yakin nahi horaha? Aankde dekhlo
- England ke spinner Jim laker ne test match ki pahli paari me 9 wicket jhatke aur dusri paari me pure 10 wicket jhatke. Aur bana diya ek test match me 19 wicket lene ka world record, jise aajtak koi nahi tod saka.
- Aapko ye jaankar hairani hogi ki, sanath jaisurya ne ek diwasiya match(One day) me Shane warne se jyada wicket liye hain.
- Kenya ke cricketer Asif karim ne aone desh ke liye international cricket aur Davis cup(Tennis) dono hi khel chuke hain. Jo ki ek alag tarah ka record hai.
- Ishant sharma 2000 ke baad(in 21st century) me bharat ke khilaf banaye gaye teen sabse bade score ke liye jimmedar hain.
Alastair Cook — 294 run (edgbaston, 2011)
Michael Clark — 329 run (sydney, 2012)
Brandon McCullum — 302 run (Wellington, 2014)
In sabhi ka catch, ishant sharma ne paari ki shuruwat me hi chhor diya tha.
- India ke 3 sabse Kamyab Captain aur behtarin ballebaaz kaun rahe hain? Shayad apka jawab ye honge:- Sourav ganguly, M.s Dhoni aur Virat Kohli. Lekin kya apko pata hai, ki in teeno khiladiyo me ek samaanta hai. Wo ye hai ki teeno captain ka highest score 183 hai.
Dirk nannes, Saif ali khan ke dada Iftikhar ali khan pataudi aur Eoin Morgan un kuchh cricketers me shaamil hain jinhone 2 desh ke liye international match khela hai.
Ye to ek tarah se life hacks ho gayi, ek desh se khelkar jyada paisa aur naam kamane ke liye dusre team me chale gaye, chalo achhi baat hai.
Dirk Nannes — Pahle Netherland aur fir baad me Australia ke liye
Iftikhar ali khan pataudi — Pahle England aur baad me India ke liye
Eoin Morgan — Pahle Ireland aur baad me England ke liye
- Chris gayle hi ek aise ballebaz hain, jinhone test match ke pahle hi over ki pahli hi baal par chakka lagaya hai. Is record ko unhone 2012 me bangladesh ke khilaf Spin gendbaz Sohag ghazi ki gend par haasil kiya tha.
- 12 january 1964 ko, Bhartiya spinner bapu Nadkarni ne chennai me khele gaye ek test match me England ke khilaf lagatar 21 over maiden dale the, jo ki world record hai.
- Sourav ganguly akele aise khiladi hain jinhone one day me lagatar 4 baar man of the match award jeete hain.
- Sir Don Bradman pure career me keval 6 chhakke(six) hi laga paye. Ye baat alag hai, ki isse unke strike rate par koi asar nahi para. Bradman apne samay ke sabse bade hitter me se ek the.
- England ke cricketer Alec Stewart 8-4-63 ko paida hue the. Aur maje ki baat ye hai ki, unhone apne test career me 8463 run banaye.
- Yeh adbhut sanyog nahi to aur kya hai, One day me pahli teen double Century(200) India ki taraf se kiya gaya. Aur teeno hi mauko par team india ko 153 runs se jeet mili.
Dosto, isi tarah ke majedar aur dilchasp jankari ke liye yaha aate rahe aur niche Follow tharahatke se ise Follow karle. Aur ise share bhi kardo. Sharing is Caring ❤️
Pingback: Unlimited paisa sarkar kyon nahi chhaapti? - Thorahatke
Pingback: Kitab Padhne Ke 10 Gazab Fayde-Reading advantages |
Pingback: T-20 World Cup 2021 Free में कैसे देखें | सेमीफाइनल और फाइनल - Thorahatke