Union Budget 2021:Mukhya Bindu- Budget Ke Bade Elaan

Union Budget 2021:- Vitt varsh 2021-22 ka budget aaj 1 February ko Finance minister Nirmala sitharaman ne pesh kiya.

Is Union budget 2021 me unhone kai bade elaan kiye. Budget me vitt mantri(finance minister) ne kai nayi yojnao ki announce ki. 

Tax slab me to koi badlav nahi hua, but 75 varsh se adhik ke Buzurgo ko vitt mantari ne badi raahat di hai.

Union-Budget-2021-22-hindi-Kendriya-Budget

Union budget 2021-22

#Yeh Union budget 2021, aapda(Disaster) me mauke ki tarah hai.

  • Jal jeevan mission shahri launch hoga. Iske tahat ₹2.86 Karod gharo ko nal(Tap) connection diye jayenge. 5 saal me ₹2.87 lakh Karod kharch honge. 
  • (Supplementry)Poorak Poshan karyakaram aur poshan abhiyan ka vilay, Mission poshan 2.0 ki shuruaat hogi.
  • Health Sector par nivesh ko badhaya ja raha hai. PM aatm-nirbhar swasth bharat yojna shuru hogi. 6 saal me ₹64,180 Crore rupye kharch honge.
  • National health mission me addition hogi. 7000 gramin(Rural) and 11000 Sharhri(Urban) health and wellness centers ko support karegi. 
  • 17 Naye public health unit shuru honge. Desh me 75 hazar naye health center banaye jayenge.
  • 602 block me critical care hospital banenge.
  • Abhi tak 5 rajyon tak simit pneumococcal vaccine ki suvidha ab pure desh me hogi. Isse saalana 50,000 bacho ki mrityu ko taala ja sakega.
  • Swasthya dekhbhal System ki Khsamta ka vikaas hoga. Nayi bimariyon ka pata lagane aur thik karne ke liye sansthano(Institutes) ka development hoga.
  • ₹11,41,676 Karod rupye swachch bharat 2.0 Urban par kharch kiye jayenge.
  • Covid vaccine ke liye ₹35 hazar karod.
  • Shahri swachh bharat mission 2.0 ki shuruaat hogi.Shahri swachh bharat mission 2.0 ko 2021 se 5 saal ke dauraan me ₹1,41,678 Crore rupye ke kul vittiya nirdharan(allotment) se amal me laya jayega.
  • Vaayu pradushan (Air Pollution) ki badhti samasya se nipatne ke liye 10 lakh se jyada aabadi wale 42 Shahri kendro ke liye ₹2,217 karod rupye.
  • Integrated health info portal majboot karenge.
  • Voluntary vehicle scrapping policy ka elaan. 20 saal personal gaadi, 15 saal commercial gaadi purane yaani unfit maane jayenge.
  • 4 National institute of virology banenge.
  • Automated fitness centre banenge.
  • Mega investment textile park scheme launch hogi. 7 textile park 3 saal me banayenge.
  • Air clean ke liye 5 saal me 2 hazar karod rupye.
  • Railway ke liye rashtriya yojna 2030.
  • Pariwahan mantralay(Transportation ministry) ko 1.18 lakh Crore rupye.
  • Metro ke liye 11 hazar karod rupye ka prastaav(Proposal). Do tarah ki metro seva shuru hogi. Metro light aur Metro neo seva. Tier 1 aur Tier 2 ke liye metro seva.
  • Railway ke liye 1 lakh 10 hazar 55 karod rupiye. Railway me make in India par Zor hoga.
  • Public bus ke liye 18 hazar karod rupiye.
  • Agle saal 8500 km sadak banaya jayega.

Bengal me nayi sadko ke liye 25 hazar karod rupiye,

Assam me sadko ke liye 35 hazar karod rupiye,

Kolkata-siliguri road ka upgradation,

Tamilnadu me highway ke liye 1 lakh karod rupiye.

Kanyakumari corridor ke liye 65 hazar karod rupiye.

  • Finance year 2021-22 me ppp mod me, main bandargaho dwara pesh kiye jane wale 7 karod se adhik ki saat bandargah pariyojnaye.
  • PM modi ke jariye November 2020 me teesre reinvest sammelan me ghoshna ke anusaar vyapak rashtriya hydrogen urja mission shuru kiya jayega. Isse harit urja sources se hydrogen paida karne me madad milegi.
  • Sambhavit land area infrastructure asset ko ek rashtriya mudrikaran pipeline shuru ki jayegi, sampatti monetization dashboard banaya jayega jo pargati ko jaanchne aur niveshko ko suvidha dene sambandhi kaam ko track karega.
  • Bijli ko lekar bada elaan: Graahak bijli company khud chun sakega.
  • Corporate bond market ke liye permanent institution framework banega. Gold exchange ke liye SEBI regulator hoga. Investor charter ka announcement.
  • Insurance Act 1938 me sanshodhan. Insurance companies me 74% tak FDI ko anumati.
  • PSB ka recapitalization: 20000 karod rupye naye vitt varsh me daale jayenge.
  • Doobe karzo ko lekar sarkar ka bada elaan. Doobe karzo par management company banegi. Bank doobne par ab ₹1 lakh ke bajay ₹5lakh tak milenge.
  • Sarkari banko ko ₹20 hazar Crore ki madad.
  • Ujjwala scheme se 1 karod pariwar aur jode jayenge.100 naye shahar, gas vitran(delivery) se jode jayenge.
  • Agle saal kayi PSU ka vinivesh(disinvestment) hoga aur iski process me teji layi jayegi. BPSL ka vinivesh agle financial year me hoga.
  • Budget 6 pillar pe tika hai. 

1st- Swasthya aur Kalyaan,

2nd- Bhautik aur vittiya poonji aur avsanrachna(infrastructure),

3rd- Akankshi(aspirant) bharat ke liye samaveshi(inclusive) vikaas

4th- Maanav poonji me navjeevan ka sanchaar karna,

5th- Navachar, anusandhan aur vikaas

6th- Minimum sarkar aur Maximum Shaasan.

Union-budget-2021-22-infographic-highlights
  • Vittiya ghaate ka lakshya 6.9% se badhakar 9.5% kiya gaya.
  • Swamitva(Ownership) yozna ke tahat 1.8 lakh logo ko card mila hai. 2021 me sabhi raajyo aur kendr shashit pardesho ko iske daayre me laaya jayega.
  • Asangathit chhetr ke majdoori ke liye ek portel banega. Iske alawa building construction worker ke liye health, housing aur food scheme shuru hogi.
  • Operation green scheme me tamaatar, Pyaaj, aur Aalu ke liye alawa 22 perishable crops ko crops ko shamil kiya jayega.
  • Kuchh saamano par agriculture infra SES lagaya jayega. Iska laabh kisano ko diya jayega.
  • Agriculture infrastructure Fund banega. 40 hazar karod rupiye ka aavantan. APMC ko agree fund ke daayre me laya jayega.
  • E-NAM ke liye ek hazar nayi mandiya.
  • Machhli karobaar ke liye 5 naye bandargaah.
  • 31 rajyo me one nation, one card laagu. 71 karod logo tak one nation one card. Ration card portability laya jayega.
  • Krishi utpaad ke niryaat me 22 aur utpaad honge shaamil.
  • MSME ki mazbooti ke liye 15 hazar karod rupye.
  • Micro irrigation(Sinchai) fund ke liye 5 hazar karod rupye.
  • Mahila har shift me kaam kar sakengi.
  • Sabhi majdoori ko nyuntam vetan diya jayega.
  • 100 se adhik naye sainik school khole jayenge.
  • Leh me naya kendriya Vishwavidyalay khulega.
  • 750 Eklavya residential school aadivaasi ilaako me banenge.
  • 15 hazar se adhik schools me quality me sudhar kiya jayega.
  • Anusuchit jaati ke liye scholarship scheme. 35219 karod baanta jayega, 4 karod schedule cost students ko fayda milega.
  • Uchh siksha ke liye commission banaya jayega.
  • Digital payment ko promote karne ke liye incentive scheme ka elaan. 1500 karod rupye ki allotment.
  • Pravaasi majddoro ke liye khaash Suraksha yojna.
  • National nursing & midwifery commission banega.
  • Jansankhya ki ganna digitally hogi, jo desh ki pahli digital ganna hogi.
  • 1000 crore rupye T workers ke liye special scheme ke jariye. Iska fayda Assam & West bengal ke T workers ko milega.
  • 2021—22 vitt varsh me financially ghaata GDP ka 6.8% rahne ka anumaan. Market se gross borrowing 12 lakh karod rupye rahegi. 2020-21 me vittiya ghaata 9.5% raha.
  • Emergency fund ₹30 hazar karod.
  • 75 saal se jyada umar ke aise senior citizen jo keval pension aur jama se byaaj pate hain, unhe tax se raahat.
  • Housing loan par mili 1.5 lakh rupye tak ki extra rahat ko aur ek saal ke liye badhaya ja raha hai.
  • 3 saal purane tax maamle nahi khulenge. Gambhir mamlo me 10 saal se purane tax mamle khole jayenge.
  • Start-up ke liye tax chhoot(exemption) extra ek saal badhi. Start-ups ke liye tax holiday ka daawa karne ke liye 31 March 2022 tak ka waqt rahega.
  • Custom duty ke maamle me 400 purani discounts ka review kiya jayega. 1 October se naye custom duty structure ko laagu kiye jane ki koshish ki jayegi.
  • Mobile phone ke kuchh parts par ab zero(0) ke bajaay 2.5% custom duty hogi. 
  • Copper par duty ghatakar 2.5%. Steel par duty ghatakar 7.5%. Ab steel screw par 10 ki jagah 15% duty hogi.
  • Sone chaandi par custom duty ghatai gayi. Cotton par custom duty badhakar 10%. 

Chuninda leather custom duty se bahar. Kuchh auto parts par duty badhegi.

(Source: Financial Express & Economic Times)

My friend, ye thi, union budget 2021 ki mukhya ansh(Highlights). Ye article ke bare me apka kya raay hai? Agar pasand aye to ise Share, Follow and Subscribe karna na bhoole. Apka ek share/follow/subscribe mujhe aur behtar chize khojne, aur saajha karne ka hausla deti hai. Thank You 💐💖😊

Leave a Reply