Kahaniya Jo Zindagi Badal De- 4 Short Story

You are currently viewing Kahaniya Jo Zindagi Badal De- 4 Short Story

Kahaniya Jo Zindagi Badal De:- Agar ek tasveer hazaro shabdo se jyada bolti hai, to wahi ek majedar naitik kahaniya hazaro sachaiyan kahti hai.

Ham chaaro taraf se kahaniyon se ghire hain aur hamme se jyadatar ko kahaniyan pasand hoti hai. chahe wo koi film ki surat me ho, koi kitab ki shakl me ho, ya koi performance ho. 

Ham sabhi ki zindagi bhi kahaniyon se bhari padi hai. Kisi bhi chiz pe nazar daurao, har chiz kahani kahti hui nazar ayegi. Prerit karti hui kahaniya, zindagi badalne wali kahaniya, pauranik kathaye e.t.c ham aye din sunte rahte hain.

“Ek chhoti kahani ke liye hamesha aisi jagah hoti hai, jo logo ko alag samay aur duniya me le ja sakti hai.”

J.K. Rowling, Author of Harry Potter Series

Kisse-kahaniyan, har sanskriti aur sabhyata(Culture) me sainkdo saalo se kahe jarahe hain. Unme aaj bhi waisi hi ras baaki hai, jo Shatabdi pahle thi. 

Aaj mai apko aisi 4 kahaniya jo zindagi badal de, batane jaa raha hun. Aap jab ise padhoge to ye apko bahut kuchh sikha jayegi. Bas padhne ki deri hai to der kis baat ki…..

Kahaniya Jo Zindagi Badal de:-

YODHHA KA NASEEB {Kismat(Luck)}

kahaniya jo zindagi badal de- Oda Nobunaga japanese warrior
Source: Google

Japan ka ek mahaan yodhha, jiska naam Oda Nobunaga tha. Wo apni fauz se das guna vishal dushman ki sena se ladne ke liye ja raha tha. Jahan samne wale ka lashkar me 50,000 sainik the, wahi inke paas sirf 5,000 ki toli thi.

Wo janta tha ki wo ek achhe plan ki hui yudh-kaushal(startegy) se hi ye yudh jeet sakta tha. But, unki fauz sandeh me thi. 

Shinto Shrine(tirth sthan) pahunchne ke raste me, Nabunaga jo unka leader tha, apni sena ko rokta hai aur apne logo se kahta hai: 

 “ jab mai tirth sthan pahuchunga to mai ek sikka uchhalunga. Agar head aata hai, to matlab ham jitenge; agar tail aaya to iska matlab hamari haar hogi. Bhagya is sikke ke haath me hai.”

Nobunaga tirth sthan me enter karta hai, wahan wo prarthna(Pray) karta hai. Tab wo aage kahta hai aur apni sena ke samne sikka uchhalta hai.

Uchhalne par Head aata ha. Unki sena utsaah aur aatma-vishwas se bhar jati hai aur yudh ko jitne ko uttejit ho jate hain.

“koi bhi kismat ko nahi badal sakti hai,” unke fauz me se ek ne ladai jitne ke baad aage badhkar kaha. 

“Vaastav me koi nahi badal sakta,” Nobunaga ne kaha aur unhone us sikke ko dikhaya jiske dono side pe head hi tha. Tail tha hi nahi. {Sholay movie me Jai ke sikke jaisa 😊}

Kahani se seekh:- hame kismat ke bharose kabhi nahi baithna chahye. Sab kuchh apke haath me hai na ki kismat ke haath me. Aap apne faisle se, chunaaw se, lagatar koshish se apne zindagi ki kahani jaisi chaho waisi likh sakte ho. Bas khud aage badhkar kaam ko anzaam do aur sapne sakar karke khud ka Bhagya banao.

LEKHAK AUR USKI BETI {Nazariya(Viewpoint)}

old writer writing a diary- kahaniya jo zindagi badal de
Source: Google

Ek lekhak(writer) andhere kamre me udaas baitha hua tha. Usne ek diary nikali, pen uthaya aur apni diary me likhna shuru kiya :

“Is saal mera pairo ka operation hua, kaafi kharch hua tha aur pure 2 mahine tak mai bistarvse uth na saka”

“Meri umra ab 60 saal ki ho gayi hai, budhha ho gaya hun, pata nahi aur kitna ji paaunga”

“Is saal pitaji bhi swarg sidhaar gaye”

“Is saal bete ka car accident bhi hua tha. Kitni chote aayi thi mere bete ko aur Car ki bhi haalat bilkul kharab ho gayi thi. Car ki marammat karwane me kaafi kharcha bhi hua tha”

Ant me us vyakti ne likha :

“Yaqeenan…yeh saal mere liye bahut kharab gaya”

Ye likhkar woh vyakti kamre se bahar chala gaya aur itne me uski beti aagayi. Tabhi beti ki nazar achanak us khuli diary par padi aur usme jo likha tha wo usne padh liya.

Beti ne jaldi se Pen uthaya aur kuchh likhna shuru kar diya. Likhkar beti kamre se bahar chali gayi. Thori der baad wo lekhak kamre ke andar daakhil hua.

Udaasi bhari aankho se usne phir pen uthaya Lekin ye kya….

Us diary me usne jo likha tha uski bajay kuchh aur hi likha tha, usne padha:

“Shukra hai is saal pairo ka operation ho gaya, itne saalo se dardsah raha tha arthritis ka”

“Meri umar ab 60 saal ki ho gayi hai aur bhagwaan ki kripa hai ki mai abhi bhi bilkul swasth hun”

“Is saal pitaji bhi swarg chale gaye, shukra hai ki unhe 90 saal ki umra me bhi unhe koi badi beemari nahi hui, jitni der rahe kabhi unhe kosis par nirbhar nahi rahna pada”

“Is saal bete ka car accident bhi hua tha lekin shukra hai mere bete ko kuchh nahi hua. Car ka kya hai, kam se kam beta to surakshit(safe) hai.”

End me us lekhak ki beti ne likha tha :

“Sach me, is saal ishwar ne ham par apna aashirwad banaye rakha aur mujhe vishwas hai ki aage bhi unki kripa se mere sab kaam bantevrahenge.”

Itne sakaratmak(positive) aur prerit Shabd ko padhkar lekhak ko bahut khushi hui aur use ehsaas ho gaya ki vaakayi me ye saal bahut achha guzra. Aur us din ke baad uska zindagi ko dekhne ka nazariya badal gaya. 

Kahani se seekh:- Positive Thinking yaani sakaratmak soch hame life me aasha aur behtar karne ki shakti deti hai jabki nakaratmak vichar(negative thoughts) hame sirf nirasha hi deti hai jisse zindagi me sirf vifalta hi milti hai.

 Isliye hamesha sakaratmak soch rakhe aur khush rahe. Aur fir dekho kamaal, ki kaise aapka jeevan dekhte dekhte badal jata hai.

RAASTE KA PATHAR {Mauka(Opportunity)}

sadak ke bich patthar- farmer and king story
Source: Google

Purane samay me ek raja tha. Ek din usne sadak ke bich me hi ek bada sa pathar rakhwa diya. Uske baad wo ek ped(tree) ke pichhe chhip gaye aur waha se dekhne lage, ki kya koi ye pathar hatata hai aur kaun hatata hai?

Bahut sare logo ke alawa, Raja ke bade-bade mantri, ameer vyapari aur darbari bhi udhar se guzre. But, wo kinare se nikal gaye, kisi ne us pathar ko hatane ki koshish nahi ki.

Bahut logo ne jordaar awaz ke sath raja ko kosa aur Doshi thahraya ki unke rajya me sadke bhi clear nahi hai. But, kisi ne bhi use hatane ki zahmat ya koshish nahi karte aur guzar jate.

Ek kisaan jo us maarg(way) se sabji ka dher liye hue jaa raha tha. Jab us bade pathar ke paas pahuncha, to usne apne bojh ko niche rakha aur us pathar ko dhakka dekar hatane ki koshish karne laga.

Bahut koshish aur dhakke ke baad aakhirkar wo gol chattaan(boulder) ko hatane me safal ho gaya. Ye dekhkar raja khush hua aur wahi khada aage ka tamasha dekhne laga.

Jab kisaan apne sabji ka dher ko uthane ko jane laga to usne notice kiya ke jahan se usne wo gol pathhar hataya tha waha ek batua(purse) pada tha. 

Usne wo purse uthaya, aur kholkar dekha, to usme bahut sari sone ke sikke the. aur saath me hi raja ki taraf se ek note bhi tha, jisme likha tha, ki ye sona us vyakti ke liye hai, jo ye gol pathhar ko raste se hatayega.

Kahani se seekh:- hamare zindagi me aane wali har musibat aur pareshani hame khud ke haalaat ko sudhaarne aur shikayato ko behtari me badalne ka mauka deti hai. Kuchh dusre log apni dariya dili(kind heart), udaarta(generosity) aur kaam ko pura karne ki lalak se mauke ko banate hain.

BUDHA AADMI AUR USKA BETA {Rawaiya(Attitude)}

old man writing letter to his son- kahani jo zindagi badal de
source: google

Ek vridha aadmi (old man) akele raha karta tha. Wo apne aaloo ke khet ko khodna chahta tha, lekin ye bahut mehnat ka kaam tha.

Uska eklauta beta, jo use madad karta, jail me band tha. Budhe aadmi ne apne bete ko ek letter likha aur apni dasha/haalaat(predicament) ko usme vyakt(mention) kiya :

Pyare bete,

Mai bahut bura mahsoos kar raha hun, kyunki is saal mai apne aaloo ke bagiche ko rop(plant) nahi paunga. Mujhe kheti na kar pane ke ehsaas se nafrat ho rahi hai, kyunki tumhari maa ko aaloo ke bagiche ko ropna hamesha pasand karti thi. Mai khet ko ropne vaste khodne ke liye bahut budha ho chuka hun. Agar tum yaha hote, to meri sari uljhan khatm ho jati. Mai janta hun agar tum jail me na hote to mere liye is jagah ko khod dete.

Love,

Papa

Thore hi din baad, us budhe aadmi ko ek telegram mila,  ” khuda ke vaste, papa, bagiche ko mat khodiyega! waha maine kuchh bandooke gaad(bury) kar rakhi hai”

Agli subah 4 baje, ek darjan FBI agents aur local police officers wahan aa dhamke, aur pure bagiche ko khodna start kar diya. Lekin bandook nahi mili. 

Confuse hue budhe aadmi ne, apne bete ko ek aur khat likha, jisme  jo hua tha wo bataya aur puchha ki ab kya karna hai.  

Uske bete ne jawab diya, ” ab jaiye aur aaloo ko ropiye. Papa, yaha rahkar apke liye mujh se jo best ho sakta tha, usko maine kiya.

Kahani se seekh:-  Isse koi fark nahi padta ki aap duniya me kahan ho, agar aap apne dil ki gahraiyon se kuchh karne ka nirnay le lo, aap wo kar sakte ho. Ye soch hi hai jo maayne rakhti hai. Naa ki aap kahan, kaise ya kya ho!

4 Kahaniya jo zindagi badal de me se, Apko kaun si achhi lagi, comment karke bataye. Aisi hi interesting, knowledge aur Moral se bhari chizo ko janne ke liye yaha aya. Is site ko subscribe & follow karle. Aur is lekh ko Share kare. Thank you 🙋‍♂️🙏😊 

                💖Sharing is Caring 💖

This Post Has 7 Comments

Leave a Reply