Table of Contents
Harshad Mehta Case:-
Shahid, Aligarh aur Omerta jaisi Film bana chuke mashoor director Hansal Mehta ki ek Web Series in dino khoob charche me hai. Naam hai “Scam 1992: The Harshad Mehta Story”. Jisme Pratik Gandhi Lead role me hain.
Ye kahani hai Harshad Mehta ki…….
Wahi Harshad Mehta, jinko ek zamaane me stock market ka Amitabh Bachchan kaha jata tha.
Wahi Harshad Mehta, jinke paas luxury gaadiyon ka poora Kaafila tha.
Wahi Harshad Mehta, jinhone pardhan mantri par rishwat lene ka aarop laga diya tha.
Taarikh – 22 April 1992,
Jagah – Mumbai, India ki aarthik rajdhani aur Sapno ka Shahar.
Shandar Imarat ke is nagar me ek aadmi Toyota ke Luxury car lexus se aata hai.
SBI ki ek shaakha me ₹40 lakh(aaj ka 2 Crore 48 Lakh₹).
Woh us SBI branch me khud nahi aaya tha, balki bulaya gaya tha. Kaaran tha, Usne 15 din ke liye ek loan le rakha tha.
Sirf 15 din ke liye, use 500 crore ka bahut hi bhari bharkam loan ko chukane ke liye bulaya gaya tha.
90 ka dashak bade badlaavo ke sath shuru hua tha. 1991 me tatkalin(Immediate) Vitt-mantari(Finance minister) Manmohan Singh aur pardhan mantri P.V Narasimha Rao ne ek bahut bada faisla liya tha.
Ye faisla tha nayi aarthik niti laagu karne ka. Desh ke darwaze duniya ke liye kholne ka. Privatisation aur videshi nivesh(Investment) ko badhava dene ka.
Kul milakar ye ek aisa daur tha, jahan log paise ko lekar thora confuse the. Aise me saamne aya wo Scam jisne desh bhar ko hila diya.
To ab aaiye jaane, ki actually me Harshad Mehta ghotala kya tha aur unhone bharat ke sabse bade scam ko kaise anjaam diya.
Harshad Mehta Jivani(Harshad Mehta Biography)
Harshad Mehta Biography In Hindi:- 29 July 1954 ko Panel moti, rajkot Gujarat me inka Janm, ek chhote se business man pariwar me hua.
Harshad Mehta ka bachpan Mumbai ke kaandi-vali me guzra aur Mumbai ke holy cross Borane bazar Secondary school se unhone padhai ki.
12vi class pura karne ke baad Harshad Mehta ne Lala Lajpat Rai College se B.com complete kiya aur agle 8 varsho tak chhoti chhoti naukriya ki.
But, unki kismat me to shayad kuchh aur hi banna likha tha, kuchh aur hi karna likha tha.
Ye jo “kuchh aur” factor hai na, ye Harshad ko khinch laya share ke dhandhe me.
So, usne naukri chhod Harijeevan daas securities naam ki brokers firm me naukri join karli aur prasanna parijeevan das ko apna guru maan liya. and stock market ke har paintre(Tactic) ko bareeki se sikhne laga.
Harshad Mehta Family
Harshad ke bete, atur mehta ek textile company mein sharer hain. aaykar ne 2019 mein mehta parivaar par 2,000 karod rupye ke pure kar maang ko radd kar diya.
Usi varsh unki Wife, jyoti mehta ne, stock broker kishor jananee aur Federal bank ke khilaaf ek case jeeta, jisme 1992 se harshd mehta ka 6 karod rupye bakaaya tha, ne kaha ki jyoti puri raashi ko praapt karne ki hakadaar thi.
Harshad mehta ke bhai ashwin mehta ne kaanoon ki degree haasil ki. woh mumbai high court aur uchchatam nyaayaalay(Supreme Court) mein kaanoon ka Practice karne wale vakeel hain.
Son – Atur Mehta
Wife – Jyoti Mehta
Brother – Ashwin Mehta
Father – Shantilal Mehta
Brother – Hitesh Mehta
Mother – Rasilaben Mehta
Brother – Sudhir Mehta
Big Bull banne ki Kahani(1992 Scam)
1984 me usne khud ki company shuru ki aur Bombay stock exchange(BSE) ki membership leli.
80 ka dashak khatm ho raha tha. lekin Harshad ka Jalwa badhta hi ja raha tha. 90 ka dashak tak har newspaper me Harshad chhaya hua tha.
Kahte hain, jab upar wala deta hai na….to Chhappar Faad ke deta hai. Harshad ke sath bhi kuchh aisa hi ho raha tha. Naye Log inke jaisa banna chahte the. Purane log izzat se naam lete the.
Lekin sab yeh baat zarur janna chahte thi akhir Harshad Mehta ka itni kamyabi ke pichhe raaz kya hai?
Kya tha, Harshad Mehta ka Raaz?(1992 Scam)
Harshad wo paaras pathar tha ki, jis share ko chhuta tha, wo sona ho jata tha. Lekin unke raaz ko samajhne ke liye unke kaam karne ke tarike ko samajhna hoga.
ACC ke share me jab usne interest liya to wo ₹200 ka tha. but, thode hi waqt me isi share ki keemat 9 hazar tak pahuch gayi.
To chaliye is raaz ko jante hain, jiska parda-fash TOI ki Patrakaar Sucheta Dalal ne kiya tha.
Baad me unhone apne husband Debashis Basu ke sath milkar “The Scam” naam ki ek kitab bhi likhi thi.
Sucheta, lambe samay se is maamle ki tah tak jane ki koshish kar rahi thi. But, unko Success mili 1992 me.
Kya tha Harshad Mehta Ghotala? (What was Scam of Harshad Mehta?)
Sucheta dalal ko 1992 me pata chala ki Mehta, bank se 15 dino ke liye loan leta hai aur agle 15 dino me us paise ko wapas kar deta hai.
Aur haan, Maze ki baat ye hai ki, koi bhi bank 15 days ka loan nahi deti hai. Yahin par Harshad ki training kaam aarahi thi, jo unhone Shuruwati dino me seekhi thi.
Harshad Mehta ne system ki isi nabz ko pakad liya tha. And uske baad unhe share bazar me lagane ke liye paiso ki kami nahi padi. Unhone dono hatho se isi paise ko bazar me lagakar karodo ka munafa kamaya. (Source:Lallantop)
Yahi tha uski Kamyabi ka Secret jiske bare me, mai upar zikr kar raha tha.
Kaise Karta tha Ghotala? (How did he used to Scam?)
1990 me sarkar ne banko ke liye ek niyam banaya, government securities me nivesh ke liye sarkar ko bank ki avashyakta thi.
Sarkari pratibhitiyan(Government securities) wo bond hai jisme sarkar, nagriko se ya bank se kuchh paise leti hai aur baad me ise byaj sahit chukate hain.
Bade bank to paise ko isme nivesh karte the par, chhote banko ke liye ek samasya thi. Isliye chhote banks ne bade banko se RFD(Ready Forward Deal) dwara paise lena shuru kar diya.
Ready Deal ka matlab hai ki ek bank sirf 15 din ke liye loan ka upyog kar sakta hai. Iske liye use ek reciept dena padta tha.
Yeh sauda, brokers(dalalo) ke jariye hi antim roop diya jata tha. Unka kaam un logo ke liye kharidar dhundhna tha jo kharidna chahte hain.
Aur vikreta dhundhna jo Harshad Mehta ko bechna chahte the. wo bhi ek mediator hi the.
Bank RF deal me kuchh khaamiyan thi, jiske jariye koi bhi paisa kama sakta tha.
Harshad ko in khamiyo ke bare me khoob pata tha. Aur usne apne khud ke laabh(benefit) ke liye iska upyog karna shuru kar diya.
Banks, is baat se waaqif nahi the, ki wo kis bank se len-den kar rahe hain. Kyunki Bank, Harshad se sidhe baat karte the.
Yahi kaaran hai ki, Harshad banko se apne naam se check jaari karne ke liye kahta tha. Wo kuchh saalo se share market me achha kar rahe the.
Iske alawa, Harshad un dino share bazar me kaafi lokpriya the. Unhone bank se mile is paise ka use, stock market ki keemato me growth karke stock market me her-fer karne keiye kiya.
Harshad ne RF deal ka istemal ek chain system ke roop me kiya tha. Jisse use apne haatho se paise load karne me madad mili thi.
Jab ek bank short term ke liye bank ki securities ko dusre bank ko bechta tha. To bank unhe real bond ke bajay ek reciept deta tha.
Is reciept ka aspasht(obvious) roop se matlab hai ki sarkari suraksha bech di gayi hai aur bank ko apne paise mil gaye hain.
Unhone apne Scam me ek aur kadam uthaya. Jab unhe adhik dhan ki zarurat thi, unhone sabhi seemaon ko paar kar liya. Aur kuchh ki madad se nakli bank receipts banana shuru kar diya.
Jo bank Sarkar ki securities kharidna chahte the, Harshad unhe nakli raseed deta tha.
In paiso ka upyog adhik shares me Golmaal karne ke liye kiya gaya. Rupye se ACC stock.
200 se 9000 share bazar me achanak growth ko dekhne ke baad, bahut se logo ne shares me invest karna shuru kar diya.
Isse share bazar me shares ki keemat rise hui. Share Value jab upar jati thi to wo apne shares ko bechte the.
Yeh tab tak chala jab tak shares ki value badh rahi thi. Achanak shares ki keemat girne lagi. Harshad ko nuksaan hona shuru ho gaya aur wo baks ko paisa wapas nahi kar paya.
Sucheta Dalal Ne Giraya Arsh Se Farsh Par
And, 23 April 1992 ko Journalist Sucheta Dalal ne Times of India ke lekh me Harshad Mehta ke ghotale ko ujaagar kiya.
Is tarah, banks ko Pata chala ki uske dwara di gayi raseed nakli thi aur uski koi value nahi thi. Banking system ko lagbhag 500 karod ka loss hua.
Is ghotale ke samne aane ke baad, share market buri tarah gira, investors ko bahut bhari nuksaan hua.
CBI ne Harshad Mehta ko 9 November 1992 ko arrest kar liya. Uspar 600 civil action ke aarop lagaye gaye the. Aur 72 apradhik maamle.
Iske baad wo hua jo desh ke itihas me pahle kabhi nahi hua tha.
Mehta ne ek press conference me daawa kiya ki, usne PM Narsimha Rao ko 1 Crore rupye ki rishwat di thi.
Congress aur Rao ne aaropo ko nakaar diya. Iska kabhi koi saboot bhi nahi mila. Lekin is maamle ne Narsimha Rao ke upar badnami ka daag de diya.
Zamanat milne ke baad Mehta ne forse apna dhandha shuru kar liya tha. Ek ke baad ek case me use zamanat mil rahi thi. Aisa kagne laga tha ki din fir se badal jayenge.
But, 2001 me use firse, giraftar kar liya gaya aur jail bhej diya gaya. Jahan Thane jail me 31 Dec 2001 ko heart attack se mar(expire) gaye.
Harshad Mehta Net Worth(Kul Sampatti)
Harshad mehta ki net worth $7 arab dollar(3542 Crore rupye) thi.
Unke paas Mumbai me ek Saagar ka saamna karne wala bangla tha, jisme ek Golf course aur Swimming pool tha.woh kai luxuries cars ka malik tha. Jo un dino achhe achhe ameer ke liye bhi badi baat hoti thi.
RBI ki, Jankiraman samiti ki ek report ke mutabik 1992 ka ye ghotala sab milakar 4025 Crore ka tha.
Isme sabse bada Scam, SBI ke sath kiya gaya 600 Crore ka Fraud tha. Is maamle ka khulasa karne wali Journalist Sucheta ko 2006 me padm Shri award se bhi nawaza gaya tha.
Ye thi 1992 Scam : Harshad Mehta ke pichhe ki Poori Sachi kahani. Agar apko ye article achha laga to Share kare, aur is page ko Follow karlo.