Psychology Facts In Hindi- 50 Amazing Facts

You are currently viewing Psychology Facts In Hindi- 50 Amazing Facts

Psychology Facts In Hindi: Dost, aaj mai aap sabko 50 Rochak Psychological Tathya batane ja raha hun, Jisme ham manav vyavhar, pyaar, sharirik bhasha aur bahut kuchh janenge.

Agar koi ek vyakti ko nahi samajhta hai, to use bewakoof samjhne lagte hai.

–Carl Jung, Swiss psychiatrist and psychoanalyst

50 Rochak Psychological Tathya (Psychology Facts In Hindi)

  • Kya tumne kabhi ye socha hai, ki ham sabhi jo karte hain wo kyu karte hain? kisi ko garma garam chaai pasand hai, to kitno ko gol gappe ka naam sunkar hi muh me paani bhar aata hai.
  • Kisi ko dekho to asafal hone ke baad bhi, hamesha khush nazar aata hai.koi bas ghar me hi rahkar, kitabe padhna.

In sabhi chizo ko ham 50 Rochak Psychological Tathya me jaan payenge. Jo insaani vyavhar (Human behaviour) ko samajhne me madad karta hai. At first, ham janne ki koshish karte hain Psychology hai kya?

Then, mai tumhe psychology ki duniya ke rochak tathya bataunga. jise padhkar tumhe sach me mazaa aajayega. and also, bahut kuchh seekhne wale ho aaj tum.

(Manovigyan) Psychology kya hai? (What is Psychology)

Meaning of Psychology in Hindi:- Psychology term, Greek bhaasha ke 2 shabd (Psyche–Soul,life or breathe) and (Logia– Science, study or research) se milkar bani hui hai.

Therefore, Psychology ka matlab aatma or jeevan ke bare me shodh karna hai.

Ham insaano ka dimag bada hi jatil hai. Isliye insaano ka vyavhar bhi thora ajeeb hai. Ise samajhna hamare liye behad jaruri hai.

Yahi par Psychology hamare kaam aati hai. Insaano ke dimaag, uske vyavhar, kaam karne ke tarike aur vikaas karne ki process ko Psychology kahte hain.

Psychologist and Psychiatrist me antar

Psychology ka adhyayan(study) karne wale ko Manovaigyanik (Psychologist), Psychology related beemariyo ka ilaaz karne wale ko Mano-chikitsak(psychiatrist) kahte hain.

Manovigyan(Psychology) se sambandhit chizo ko Psychological. To chiye 50 best Manovaigyanik Tathya jante hain. 

TOP 50 Psychology Facts In Hindi:- 

  1. Apke zindagi me sabse behtar vyakti woh hai, jo is line ko padhte hue sabse pahle apke dimaag me aaya hai :).
  1. Kabhi-kabhi jo insaan apse baat nahi karta hai wahi aapse sabse jyada baat karna chahta hai.
  1. Ek vyakti jab sachi baat bata raha hota hai then, wo apne haath se jyada haav bhaav vyakt karta hai, and jab jhoot bol raha hota hai to nahi or bahut kam.
  1. Psychologically, jo hame chahte hai ham unhe nazar andaaz (ignore) karte hain. Aur jo hame ignore karte hain unhi par ham jyada dhyan dete hain.
why people ignore
Source: google
  1. Jab koi rota hai, agar aansu ka pahla boond right aankh se gire to wo khushi ke hain. Aur agar left aankh se gire to wo dukh ke hain. Aur dono ankho se ek sath aana nirasha ko batata hai.
crying people
  1. Ye baat jo mai batane ja raha hun, wo bahut hi parkha(observe) hua aur adbhut ghatna hai. Aplogo ne bhi ye mahsoos kiya hoga. Yaad karo, jab bhi aap kisi group me baithe ho aur kisi ne koi majakiya baat kahi. jisse sabhi hans pare. Wo kaun vyakti tha jinko aapne sabse pahle dekha ya wo kaun tha jisne aapko dekha? Haa wahi aap ke sabse kareeb hai. 

Yeh saabit ki hui adbhut ghatna hai; “Jab kabhi group me log hans rahe hote hain, log sahaj roop se pahle use hi dekhte hai jisse wo apnapan mahsoos karte hain, kyuki wo apni hansi har kisi ke sath nahi baant sakte hain.

group of friends laughing
Source: Shutterstock
  1. Kisi se apni baat ko Sahi manwana hai-

Us Aadmi/Aurat ko kursi pe bithai aur aap unke samne khade ho jao. Ye kaam maansik roop se apko adhikar ke pad par rakh deta hai. Ek aur kaam, apne haath ko unke kandhe par rakho jab koi baat manane ja rahe ho. Try karke dekh lo.

  1. Kisi kaagaz ke tukde par nakaraatmak vicharo ko likhkar kudedaan me fek dena, ek Manovaigyanik trick hai jo apke mood ko behtar karti hai.
trash your nrgative word or talk
Source: Google
  1. Psychology ke anusaar, aam logo ki tulna me Aqalmand log ke dost kam hote hain. Kyuki jitna budhiman aap hote hai utna hi chuninda ban jate ho. 

Isi liye, mai janta bahut ko hun. But, dost kam banata hun ;p.

  1. Agar tum padhte waqt koi chewing gum chabate ho, aur fir wahi swaad ka chewing gum exam dete waqt chabate ho, to ye apko yaad karne me mada kar sakta hai.
Teenager blowing bubble gum while studying
Source: google

11. Agar tumhe ye lag raha hai ki, koi tumhe notice hai. then, ubaasi lo. Agar usne bhi ubaasi liya to pakka tumhe ghoor raha tha kyuki,ubaasi bahut hi visually contagious hoti hai. Matlab, Ubaasi dekhne se ubaasi aati hai.

kya aapko aayi...Ubaasi...is bache ki Ubaasi dekhne ke baad ;D

Yawning is contagious
Source: google
  1. Jab koi tumse 20 second tak gale milta hai to, tum shaant, tanav mukt aur taaza mahsoos karte ho. Aur uspe jyada bharosa karne lagte ho. Kyuki gale milne se oxytocin release hota hai. Jo achha mahsoos karane ka chemical hai.
Source: Google
  1. Tumhara juta wo pahla chiz hai, jise log avchetan roop se tumhare bare me notice karte hain. To achhe jute pahno.
Wear nice shoe
nice sSource: Google
  1. Dhyaan se suno, kaise koi vyakti dusre ke bare me tumse koi baat kahta hai. Yaad rakho isi tarah wo dusro ke paas tumhare bare me batayega.
  1. Naarangi ki mahak se tanaav se rahat milti hai.Narangi ko sunghna aur khana tanaav ko ,70% tak kam kar deti hai.
smell of orange relieves stress
Source: google
  1. Ye dekha gaya hai ki, jo log alagalag tarah(genre) ke music sunte hain. Wo smart aur rachnaatmak hote hain.
Listening music
Source: google
  1. Jab koi tumse bolta hai ki, mujhe tumse kuchh jaruri sawal karna hai ya Ek baat puchhu, sach sach bataoge? Kahta hai. to 98% chance hai, tumhe apne sare bure kaam yaad aane lagte hain.
  1. Normally, log jab thake hote hain to wo jyada imandaar hote hain. Yahi wajah hai ki log der raat ko sach bolte aur galtiyan bhi qubool kar lete hain.
late night texting
Source: google
  1. Sote waqt jo bhi sabse ant(last) me apke dimaag me aata/aati hai, wahi apke khush hone ya dukhi hone ka kaaran hote hain.
  1. Kisi ke andar kya chal raha hai, wo kyu udaas hai. Ye janne ke liye tum apni koi apni raaz ki baat batao. To bahut jyada chance hai ki wo tumhe apni chiz bata dega/degi ki use kya hua?
comforting sad man
Source: google
  1. Psychology batati hai, Jitni gahre tumhare ehsaas honge utni hi mushkil use batana ya zaahir karna hota hai.
  1. Shabdo ki shakti. Subconsciously, Jyadatar log jo kuchh bhi sunte hain wo maan lete hai, Agar wo baat uske jo shradhha ke ulta ya virudh nahi hai to! Jaise ki, agar tumhara koi dost bole ki “xyz” movie bahut achhi hai to tumhara man bhi use jaanche parkhe “xyz” movie ko achha maan leta hai. Marketing industry bhi isi pe kaam karti hai.
  1. Apraadhi ko saja ke taur par jail me kaid karne se uska Rawaiya(attitude) nahi badalta hai. Lekin, jab unhe pyaar, daya, aur dekh-bhaal se awgat karaya jaye. use uske galti par afsos karaya jaye to ye jarur uska nazariya, vyavhar aur Rawaiya ko badal kar rakh dega.
  1. Kya tumhara koi manpasand gaana ha? Agar haan tonwo isliye hai kyuki tum us gaane se bhavnaatmak(emotionally) roop se jude hue ho.
  1. Psychology kahti hai, jitna chhota kisi ka handwriting hogi.wo baat-chit me utna kam khula hoga.
Source: google

26. Hamara dimaag kisi bhi tarah ke naa-manzuri ko sharirik dard ki tarah mahsoos karta hai.

rejection- Psychology Facts In Hindi
Source: MensXP

27. Jab kabhi koi tumse baat kar raha ho then,Sar ko halke se hilaye. Isse saamne wale ko lagega ki tum unme sachmuch ruchi le rahe ho.

28. aatma vishwas, sharirik roop rang se jyada jaruri hai. kuchh shodh me paya gaya hai ki, aurato ke anusar, waisa aadmi jo aatm vishwas se bhara aur samajhdar ho, achhe dikhne walo se jyada aakarshit lagte hain.

self confident man
  1. Ek vyakti jab bhi rona shuru karte hain, to wo udaas aur dukh bhare pal ko yaad karne lagta hai jo use aur jyada rone me madad kar sake.
  1. Apna lakshya, dusro ko batane se us lakshya ko pura karne ki sankalp shakti kam ho jati hai, kyuki aap goal ko pane ki prerna kho dete ho. 
  1. Agar koi vyakti bas bake hi ja raha hai aur tum use rokna chahte ho. Then, apni sharirik bhasha se use dikhao ke uski bato se tumhe koi dilchaspi nahi hai. Jaise ki; idhar udhar dekhna, Table pe ungli ko gol ghumate hue use hi dekhna, ya aisa ishara band kar do jisse lagta ho, ki tum ruchi le rahe ho(sar na hilana ya hmmm nahi kahna) or ye sab cheeze karo. 
not listening to someone
Source: google
  1. Psychology batati hai, Log kisi vyakti se jyada usse judi yaado ko jyada mahatv dete hain.Isiye, aap jyadatar yaado ko miss karte ho na ki us vyakti ko.
  1. Hamara dimaag ke paas kisi bhi khatre ko mahsoos ya pata lagane ki chhamta hoti hai. Agar apka man kah raha ho ki kuchh gadbad hai. To is baat ko kabhi mat nakaro.
  1. Jab tum kisi ko pasand karte ho to Psychologically tumhari message karne ki raftaar badh jati hai. 
text faster
Source: google
  1. Jitne lambe samay tak tum kisi ke prati apni bhawna or ehsaas ko chhipate ho, tumhara ehsaas uske liye aur gahra hota jata hai.
  1. Tumhare kisi bhi sawal karne par kisi ne adhura jawab diya to intezar karo. Agar tum khamosh rahoge aur unse nazre milakar rakhoge to wo uske aage ki baate bhi batane lag jayenge.
  1. Aayne me dekhkar apne chehre par jabardasti muskaan lana tumhare dimag me ek chemical paida kar deti hai jo tumhe khush kar deta hai.
forcing smile in the mirror
Source: google
  1. Agar aap kisi chiz ko bechna chahte ho to kisi bhi tarah se us chiz ko sasta dikhao, khoobi badha kar batao ya wo chiz kam bachi hai, ye batao. jaise niche di hui photo dekho.
scarcity in selling
Source: google
  1. Bystander Effect- jitne jyada log apke charo or honge utne hi kam chance hain ki log emergency me apki madad kare. Sabhi yahi sochte hain ki bheed me se koi na koi madad kar hi dega.
bystander effect
Source: google
  1. Ghumna phirna apko adhik rachnaatmak aur budhiman bana sakta ha.i and mushkilo ko hal karne ki chhamta bhi badha sakta hai.
  1. Jab kabhi kisi ke haath me naya pen aata hai to, 97% log sabse pahle apna naam likhte hain.
  1. Jo log jyada kasme khate hain. Wo dusre ke sath jyada sache aur imandar hote hain.
  1. Aisa vyakti jo vyang(sarcasm) ko achhe se samajhta hai, wo logo ke dimag ko padhne me bhi achha hota hai.
  1. Ankho ko band karne se tumhe chizo ko yaad karne me madad milti hai.
close your eyes for recall or remember
Source: google
  1. Kisi bahas ko jeetne ka sabse shaktishali tarika hai, sawal puchhna. Isse log apne tark(logic) me galtiya dhundhne lagte hain.
  1. Agar ye janna chahte ho ki samne wala tumhari bato me ruchi le raha hai ya nahi to apne dono hatho ko cross arm karlo. Agar samne wala bhi aisa karta hai to wo Ruchi le rahai hai.
cross arm,
  1. Interview me chune jane ka rahasya 😉 :- Shuruat aur ant me hui chize dimaag me jyada saaf taur se yaad rahti hai. Jabki beech me hui chize dhundhli ho jati hai. So, agar aap interview me paas hona chahte ho. Then, interview wale room me pahle jao ya phir ant me.
  1. Jab kabhi tumhe bheed ke samne bolna ho ya kuchh karna ho and tum bahut bechain ya dare hue ho. then, chewing gum khao. Ham jab koi chiz kha rahe hote hai to hamare dimag ko message jata hai ki koi khatra nahi hai kyuki khatre ke waqt koi nahi khata hai.
chew gum before public speaking
Source: google
  1. Placebo Effect:- dimaag me aisi chiz ko dalna, jo kisi ko ye sochne par majboor karde ki wo kaam karta hai jabki wo nahi karta. jaise ki kabhi kabhi doctor mareej ko aisi dawai/goliyan dete hain, jo sirf chini ki bani hoti hai.and wo sahi me mareej ko behtar kar deta hai 

Ek aur:- Kisi ke dimaag me agar koi chiz dalna hai to use us kaam ko sochne ke liye mana karo. Jaise ki mai tumhe kahta hun ki “Haathi” ke bare me mat sochna. Ab batao tum kya soch rahe ho? 😉 

placebo effect
source: google
  1. Waise log jo aasani se Sharma jate hain, wo adhik dayalu aur bharose ke layak hote hain.

Thank you friends, yaha tak padhne ke liye. aap is blog se bahar kadam rakhoge to jaroor auro se kuch jyada dilchasp jankari aapke paas hogi.

So, ummeed karta hun ki aap dobara bhi aaoge. And jab bhi aaoge, kuchh naya, achha aur rochak chize sikh kar hi jaoge. aapka swagat hai. 😊

💖Sharing is caring 💖

This Post Has 3 Comments

Leave a Reply